Khayal rakhna.......
Udaasiyan be sabab nahi hain
Udaasiyon ka agar yeh mosam
Teher gaya to gazab karega
Na ji sako gay,na mar sako gay
Na kaam hi koi karsakogay
Kisi ki har pal talab karega
Udaasiyan be sabab nahi hain...
Suno jo lamhe hain aaj hasil
unhein hamesha sambhal rakhna
Wafa k gulshan mein charon janib
bahar rakhna nikhaar rakhna
Mohabbaton ka waqar rakhna
Udaasiyan be sabab nahi hain......
jahan mein kitnay hi log aaye
rahe basay hain,ujar gaye hain
magar yeh jazbay abud say hain
aur azal tak rahein gay
tum apni ankhon mein pehlay jaisa jaal rakhna
Udaasiyan be sabab nahi hain...........
zara yeh socho bichar gaye to
kahan milein gay
Yun hi rahein gi tamaam rahein
magar yeh rahi na mil sakein gay
bahar mein bhi khizan ki soorat
na phool har simt khil sakein gay
na dil ko apnay udaas rakhna
Har ek jazbay ka paas rakhna
Milein gay akhir yeh Aas rakhna
Udaasiyan be sabab nahi hain....
Comment