Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aaj yon mosam ne di

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aaj yon mosam ne di

    Aaj yun mausam ne dee jashn-e-muhabbat ki khabar
    Phoot ker rone lage hain mai muhabbat aur tum

    Hum ney joon hi ker liya mehsoos manzil hai qareeb
    Raastey khone lage hain mai muhabbat aur tum

    Chaand ki kirno ne humko is tarah bosa diya
    Devta hone lage hain mai muhabbat aur tum

    Aaj phir mehroomiyon ki daastane orh ker
    Khak mai sone lage hain mai muhabbat aur tum

    Kho gaye andaaz bhi awaz bhi alfaz bhi
    Khamshi dhone lage hain mai muhabbat aur tum


  • #2
    BeWafa

    Ek Bewafa Ko Ham Ne Is Dil Men Jaga Di Thi
    Khawabon Ki Dunia Apni Us Sey Hi Saja Di Thi

    Chaha Tha Us Ko Ham Ne Khud Se Bhi Bahot Barh Kar
    Us Chahat Men Ham Ne Ye Hasti Hi Mita Di Thi

    Malom Nahi Tha Ham Ko Wo Bewafa Bhi Hoga
    Us Per Bharosa Karky Khud KO Hi Saza Di Thi

    Socha Tha Sath Mill Kay Katen Gey Zindagi Ko
    Us Ne To Aikh Pal Main Har Bat Bohla Dey Thi

    Kesa Sitam Hey Dekho Wo Kab Sey Juda Ha Mujh Sey
    Apni Zindagi Jis Ka Saya Sa Bana Di Thi
    Kia Tha Us Per Bharosa Kiun Had Sey Bharh Kar
    Us Ki Jafa Ne Dil Mein Ek Halchal Si Macha Di Thi

    Comment


    • #3
      us ki awaaz mein mojood thi hairat us ki

      chup ke alam mein woh tasweer si soorat us ki
      bolti hai to badal jati hai rangat us ki
      seerhiyan charhte achanak woh mili thi mujh ko
      us ki awaaz mein mojood thi hairat us ki
      haath chhooloon to laraz jaati hai patte ki tarah
      wohi nakarda gunahi pe nadamat us ki
      kisi tehri hoi sa-at ki tarah mehar ba lab
      mujh se dekhi nahin jati ye aziyat us ki
      aankh rakhte ho to us ki aankh ki tehreer parho
      moun se iqrar na kerna to hai aadat us ki
      khud woh aagosh kushada hai jazeere ki tarah
      phele daryaon ki maanand muhabbat us ki
      roshni rooh tak aati hai magar chhan chhan ker
      sust roo abar ka tukra hai tabeat us ki
      hai abhi lams ka ehsas mere honton per
      sabat pheli hoi banhon pe harat us ki
      woh agar jaa bhi chuki hai to na kholo ankhein
      ab be mehsoos kiye jao rafaqat us ki
      dil dharakta hai to woh aankh bulati hai mujhe
      saans aati hai to milti hai basharat us ki
      woh kabhi aankh bhi jhapke to lazar jaata hoon
      mujh ko us se bhi ziada hai zaroorat us ki
      woh kaheen jan na le rait ka tela hoon mein
      mere kandhon pe hai tameer imarat us ki........

      Comment


      • #4
        Gar Tum Paas Hote To...!!!

        GAR TUM PAAS HOTE TO,

        Karam ki inteha karte,

        Tumein palko pe rakhte,

        Tumein dil mai basa lete,

        Gar tum rooth jate,

        Tumein khud he mana lete,

        Tumhari laghzishon ko b hansi mai urra dete,

        Gar apni khata hoti,

        To khud ko he saza dete,

        Magar yeh sab jabhi hota,

        GAR TUM PAAS HOTE TO...!!!

        Comment


        • #5
          Kaha tha na!

          Kaha tha na!

          K is tarah mujhe sotey hue mat chor k jana,

          Mujhe beshak jaga dena,

          Bata dena tumein rasta badalna hai,

          Meri had se nikalna hai,

          Tumein kis baat ka dar tha?

          Tumein jane nhi deti?

          Tumein qaid kar leti?

          Arey pagal muhabbat ki tabiat mai zabardasti nhi hoti,

          Jisse rasta badalna ho,

          Ussay rasta badalne se,

          Jisse had se nikalna ho ussay had se nikalne se,

          Na koi rok paya hai na koi rok paye ga,

          Tumein kis bat ka dar tha?

          Mujhe beshak jaga dete,

          Mai tum ko dekh to leti,

          Tumein koi dua deti,

          Kam az kam yon to na hota,

          Mere sathi haqiqat hai,

          Tumhare bad khone ko to ab kuch nhi baqi,

          Magar khone se darti hun,

          Mai ab sone se darti hun...!!!

          Comment


          • #6
            Tu bdal gya hy!

            Kuch to hy
            Tu bdal gya hy!

            Wo tri ankho k khawab sary

            Wo batein sari

            Hisab sary

            Swal sary

            Jwab sary

            Wo khushian sari

            Azab sary

            Nasha tha jo vo uter gya hy!

            Kuch to hy

            Tu bdal gya hy!

            Jo tere milne ki arzo thi

            Jo tujh ko pany ki justju thi

            Hui jo chahat abi shuro thi

            Jo teri ankhon me roshnh thi

            Jo teri baton ki ragni thi

            Jo teri sanson ki tazgi thi

            Jo tere lehjy men chashni thi

            Wo sara metha pighal gya hy

            Kuch to hy
            Tu bdal gya hy!!!

            Comment


            • #7
              Barsoon Baad

              Barson k baad daikha shakhs " Dil ruba sa"
              Ab zehan main nahi hai par naam tha bhala sa

              abro khichay khichay say aankhain jhuki jhuki see
              Baatain rukee rukee see lehja thaka thaka sa

              Alfaz thay k jugno awa k safar main
              Ban jai junglon main jis tarah rasta

              Khuwaboon main khuwab us k yaadon main yaad us ki
              Neendoon main ghul gaya ho jaisay k ratjaga saa

              Pehlay bhi log aaee kitnay hi zindagi main
              Wo her tarah say laikin oron say tha juda sa

              Aglee muhabbaton nay wo namuradiyaan deen
              Taza rafaqaton say dil tha dara dara saa

              Comment


              • #8
                Kuch door humara saath chaloo !

                Kuch door hamare saath chalo

                Kuch door hamare saath chalo
                Hum dil ki kahani kehdein ge
                Samjhe na tum jisse aankhon se
                Woh baat zubaani kehdein ge

                Jo pyar karein ge jaanein ge
                Har baat hamari maanein ge
                Jo jaley na hon khudh ulfat mein
                Woh aag ko paani kehdein ge

                Jab pyaas jawan ho jaye gi
                Ehsaas ki manzil paye gi
                Khamosh rahein ge aur tumhein
                Hum apni kahani kehdein ge

                Is dil mein zara tum baitho to
                Kuch haal hamara poocho to
                Hum sada dil hain "haseeb" mager
                Har baat poorani kehdein ge

                Comment


                • #9
                  Uski Yaad

                  Usay aisay hi khawaboon main bulata hoon main aksar
                  Meray is tootay man youn hi behlata hoon main aksar

                  Merey dunya faqat ab us ki yadain hi too hain naa
                  Hay yeh tera asasa dil ko samgata hoon main aksar

                  Khayal aaye jo us ka dil mera bechain hoota hay
                  Usay khoonay kay dar say rooh tarpata hoon main aksar

                  Kabhi jhoonka hawa ka day jo dastak merey dar pe to
                  Tasawar us kay aanay ka banata hoon main aksar

                  Mugay maloom hay k woo kabhi mera nahe hoga
                  Yehi ik baat to bas bhool hi jata hoon main aksar

                  Mugay KHURRAM aqeedat hay jo in andheer ratoon say
                  Yeh batain in hi ratoon main to keh jata hoon main aksar

                  __________________

                  Comment


                  • #10
                    Hum bhi kabhi muhabbat kiya karte thay.....

                    Jab uski dhun mai raha karte thay,

                    Ham bhi chup chap jiya karte thay,

                    Aankhon mai pyas hua karti thi,

                    Dil mai tufan utha karte thay,

                    Log aate thay ghazal sun'ne,

                    Ham uski bat kiya karte thay,

                    Such samajte thay uske waadon ko,

                    Raat din ghar mai raha karte thay,

                    Kisi veerane mai usse mil kr,

                    Dil mai kia phool khila karte thay,

                    Apna ghar sajane ki khatir,

                    Ham uska naam likha karte thay,

                    Kal usay dekha to yaad aaya,

                    HUM BHI KABHI MUHABBAT KIYA KARTE THAY...!!!

                    Comment


                    • #11
                      Re: Uski Yaad

                      he....

                      Comment


                      • #12
                        kya ho tum

                        "KYA HO TUM"?

                        Chalo aaj main btaon kya ho tum,

                        Mere liay meri DUNIYA ho tum,

                        Chuu kr jo guzri woh HAWA ho tum,

                        Maine jo mangi wo DUA ho tum,

                        Kare mujh ko jo roshan wo DIYA ho tum,

                        Dil ye kahey mera JIYA ho tum,

                        Maine kiya jo mehsos woh EHSAAS ho tum,

                        Meri nazar ki TALASH ho tum,

                        Meri zameen ka AKASH ho tum,

                        Mere chehre ki KASHISH ho tum,

                        Mere sitaro ki GARDISH ho tum,

                        Meri zindagi ka QARAR ho tum,

                        Bus aur kuch nhi mera PYAR ho tum...!!!

                        Comment


                        • #13
                          Khamoshi Se Suno Wo Aawaaz Hamari Hogi

                          Khamoshi Se Suno Wo Aawaaz Hamari Hogi,
                          Mehfil Me Jo Tanha Kar Jaye Wo Yaad Hamari Hogi,
                          Jab Kabhi Bhi Sochogi Hamare Pyar Ko To?
                          Har Taraf Khushiyan Hongi Lekin Kami Hamari Hogi.


                          Har Mehfil Mein Ab Hamne Tanhaai Payi Hain,
                          Apne Saaye Mein Bhi Teri Kami Nazar Aayi Hain,
                          Doobte jaate hai hum jitna teri yaado Mein,
                          Hume Utni Hi Aur Jyaada Kareeb Tu Nazar Aayi Hain.


                          Bite Huye Pal Kabhi Laut Ke Aate Nahi,
                          Saath Gujare Lamhe Kabhi Bhulaye Jaate Nahi,
                          Ye Pal Aur Ye Hi Lamhe Saathi Hain Mere,
                          Kyuki Ye Wo Pal Hain jo Kabhi Bhulaye Jaate Nahi,


                          Duniya Mein Kisi Se Kabhi Pyar Mat Karna,
                          Apne Anmol Aansoo Iss Tarah Barbaad Mat Karna,
                          Kaante To Phir Bhi Daman Tham Lete Hain ,
                          Phulon Se Iss Tarah Phir Kabhi Pyar Mat Karna.


                          Woh Hume Bhul Jane Ki Baat Karte Hai,

                          Zara Unase Puchho Ki Wo Hume Kab Yaad Karte Hai,

                          Jo Karte The Kabhi Humse Pyar Bhari Baate,

                          Na Jane Kyu Aaj Wo Akele Rahne Ki Baat Karte Hai.

                          Comment


                          • #14
                            Re: Khamoshi Se Suno Wo Aawaaz Hamari Hogi

                            Waah
                            bohat khoob.
                            aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                            kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                            Comment


                            • #15
                              Re: kya ho tum

                              Bohat khoob.
                              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                              Comment

                              Working...
                              X