Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Meri pasand

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Meri pasand

    Wapsi ka darwaza

    dur janewale to
    lot kar nahin aat-e
    ye khabar hai mujh ko bhi
    phir bhi aas hai dil main
    is liye teri khatir
    wapsi ka darwaza
    maine khol rakha hai

  • #2
    Re: Meri pasand

    Abhi mosam nahin badla

    yeh tu ne sach kaha hoga
    ke jab mosam badalta hai
    badal jat-e hain sab insa-n
    gai rut jis main hum bichhre
    us-e muddat hui beete
    magar mahsoos hota hai
    mujhe ab bhi yehi jana-n
    abhi mosam nahin badla

    Comment


    • #3
      Re: Meri pasand

      Paida'ish ki tareekh


      Tum meri paida'ish ki tareekh poochhti ho?

      to likh lo jo tumhein nahin maloom hai

      jis roz tum ne mujh se pyar ka izhar kya tha

      wahi din meri paida'ish ka hai




      Comment


      • #4
        Re: Meri pasand

        Na Itna Pyar Karo........


        Na itna pyar karo aik do ghari ke liye
        yeh chand lamhe palat kar kabhi na aenge
        khushi ka waqt kabhi lot kar na dekhe ga
        yeh lamhe dur buhat dur hote jaenge

        Agar hayat ka anchal khushi se bharna hai
        to itna pyar karo ke tumhein bhula bhi saku-n
        bas itni dur mujhe le chalo muhabbat main
        jo tum mere na raho main palat ke aa bhi saku-n

        milo na itna ke kat-e na kate gham ki raat
        hanso na itna ke daman bhigo ke baith raho
        chuno zarur chuno phool wafa ki khatir
        magar na itna ke ka-nte chubho ke baith raho

        khushi ka itna bharosa kuchh achhi baat nahin
        khushi zarur kabhi inteqam leti hai
        buhat ziyada na chaho mujhe Khuda ke liye
        buhat ziyada muhabbat bhi maar deti hai

        Comment


        • #5
          Re: Meri pasand

          Aao dosti kar lein


          Ek ghubar-e khaak hain
          kal ko bikhar hi jaenge
          mukhtaser si zindagi hai
          kuchh to is main rang bhar lein
          aao dosti kar lein

          Comment


          • #6
            Re: Meri pasand

            Mosam

            Koi deewar girti hai
            koi mosam badalta hai
            tumhare aane se jana-n
            mera jeewan badalta hai

            Comment


            • #7
              Re: Meri pasand

              Barishon ke mosam main


              Barishon ke mosam main
              tum ko yad karne ki
              adatein purani hain
              ab ki bar socha hai
              adatein badal dalein
              phir khayal aya ke
              adatein badalne se
              barishein nahin rukti-n

              Comment


              • #8
                Re: Meri pasand

                Achanak phir bachaya hai kisi nadeeda hasti ne
                magar kaise hua yeh mojeza maloom karna hai
                tujhe kuchh yad hai kal kab tujhe main yad aya tha
                mujhe aey maa-n tera waqt-e dua maloom karna hai

                Comment


                • #9
                  Re: Meri pasand

                  kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera
                  hota rahta hai yunhi qarz barabar mera
                  toot jate hain kabhi mere kinare mujh main
                  doob jata hai kabhi mujh main samandar mera
                  kisi sahra main bichar jaenge sab yar mere
                  kisi jungle main bhatak jaega lashkar mera
                  bawafa tha to mujhe poochhne wale bhi na the
                  bewafa hun to hua nam bhi ghar ghar mera
                  kitne hanste hue mosam abhi aat-e lekin
                  aik hi dhoop ne kumhla diya manzar mera


                  Comment


                  • #10
                    Re: Meri pasand

                    Rasm-e Qadeem


                    main
                    dual ke liye tayyar hun
                    jo bhi mere muqabil aya
                    woh mar jaega
                    bhala kon tumhein
                    meri tarah
                    chahega??

                    Comment


                    • #11
                      Re: Meri pasand

                      Originally posted by Nooralsabah View Post
                      kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera
                      hota rahta hai yunhi qarz barabar mera
                      toot jate hain kabhi mere kinare mujh main
                      doob jata hai kabhi mujh main samandar mera
                      kisi sahra main bichar jaenge sab yar mere
                      kisi jungle main bhatak jaega lashkar mera
                      bawafa tha to mujhe poochhne wale bhi na the
                      bewafa hun to hua nam bhi ghar ghar mera
                      kitne hanste hue mosam abhi aat-e lekin
                      aik hi dhoop ne kumhla diya manzar mera

                      Buhat umda intikhaab hai

                      Comment


                      • #12
                        Re: Meri pasand

                        v nice.....................

                        Comment


                        • #13
                          Re: Meri pasand

                          v nice intikhab
                          keep sharing

                          Comment

                          Working...
                          X