kitne khwabon ke mahal maine bana-e lekin
jab khuli ankh to koi bhi salamat na mila
aaj phir aik naya qasr banane ke liye
maine armanon ke madfan pe bina rakhi hai
janta hun ke hamesha ki tarah yeh bhi mahal
khak ho jaega gir jaega mit jaega
aik woh lamha-e rahat ke talab hai jis ki
mere damaane talab main na kabhi aega
lekin is bar yeh socha hai ke is qasr ke sath
main khud bhi mahfil-e hasti se guzar jaunga

Comment