Aik Ghazal..... Khuda Hamko Aisi Khudaii Na Dey
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Aik Ghazal..... Khuda Hamko Aisi Khudaii Na Dey
Collapse
X
-
Re: Aik Ghazal..... Khuda Hamko Aisi Khudaii Na Dey
Assalamualikum ,
PLz aap log toh aise ashaar ki tarweej na karein jo mashkook paye jatey hain.
meri is baat se kisi ko ittefaaq nahi ho ga likin is mein jo shak paya jata hai woh aap sab ke samne rakhna zaroori samjhti hoon .
bhale hi yeh shair apne mahasin par pura utarta ho likin is ki khami bhi wazeh hai . woh yeh ke sha'air kah raha hai ke " khuda , ham ko aisi Khudai na De " sha'air khuda se faryaad kar raha hai ke " ham ko KHudai " na de. ab yahan sawal yeh paida hota hai ke ...khudai , Khuda ke alawa kisi aur ko hasil hai ?
agar khuda ke awala khudai kisi ko milna tha ...toh Shaddaad pahla shaks hota jis ne khudai dawa kia.aur Baagh-e-Iram banwaya .....phir kia wajha thi ke wo us mein khadam bhi nahi rakh paya ?
sha'air ne dua mangi bhi toh kia mangi ?is sey kisi ka bhala ho ga ?
kisi ko ab tak khuDai mili hai ? kia ab mIle gi ?
pata nahi mein apni baat ko theek tarha se bayaan kar pai hoon ya nahi likin mein yeh smajhti hoon is misrey ko tabdeel karna chahiye ...dua mein Falaah ka unsar hona chahiye jo ke is misrey mein na peed hai .
jin ko bhi meri baat buri lagey un se Mu'afi ki khastgaar hoon.
Comment
Comment