Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Khwab sodagarri karty hain

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Khwab sodagarri karty hain

    Khwab sodagarri karty hain
    Har ik tabeer ki qeemat wasool karty hain
    Sehra'e bay ab main
    Abla pa safar pay majboor karty hain
    Thori si khushian day kar
    Bohat sa ranjoor karty hain
    Kissi tabeer ki soorat
    Sa'aton main dhal jaty hain
    Kabhi sadion ki musaffatain nazar karty hain
    Roshni ka sairab day kar
    Ta'reekian humsafar karty hain
    Khwab azab hain
    Natamam khahishon ki kitab hain
    Khain khar tu khain gulab hain
    Dil-e-baykhabr ko ashnaye dard kar daity hain
    Kuch iss ada say ye dilbary karty hain
    Zakham day kar chara gari karty hain
    Khwab sodagari karty hain.........!!

  • #2
    Re: Khwab sodagarri karty hain

    so nice............

    Comment


    • #3
      Re: Khwab sodagarri karty hain

      Umdah Intakhaab.
      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

      Comment


      • #4
        Re: Khwab sodagarri karty hain

        Bahot khoob janab nice sharing
        sigpic

        Comment

        Working...
        X