Zakham muskuratay hain ab bhi teri aahat per
dard bhool jaatey hain ab bhi teri aahat per
dard bhool jaatey hain ab bhi teri aahat per
~*~*~*~*~*~*~*~*
shambnami sitaron per phool khilnay lagtay hain
chaand muskuratay hain ab bhi teri aahat per
chaand muskuratay hain ab bhi teri aahat per
~*~*~*~*~*~*~*~*
umer kaat dii lekin bachpana nahin jaata
hum diye jalatey hain ab bhi teri aahat per
hum diye jalatey hain ab bhi teri aahat per
~*~*~*~*~*~*~*~*
ghantiyan sii bajti hain raqs honay lagta hai
dard jagmagatey hain ab bhi teri aahat per
dard jagmagatey hain ab bhi teri aahat per
~*~*~*~*~*~*~*~*
teri yaad aaye to neend jaati rehti hai
hum khushi manatey hain ab bhi teri aahat per
hum khushi manatey hain ab bhi teri aahat per
~*~*~*~*~*~*~*~*
ab bhi teri aahat per chaand muskurata hai
khawab gungunatey hain ab bhi teri aahat per
khawab gungunatey hain ab bhi teri aahat per
~*~*~*~*~*~*~*~*
teray hijar mein hum per ik azaab taari hai
chonk chonk jaatey hain ab bhi teri aahat per
chonk chonk jaatey hain ab bhi teri aahat per
~*~*~*~*~*~*~*~*
dastakyain sajanay k muntazir nahin rehtay
raastay sajatey hain ab bhi teri aahat per
raastay sajatey hain ab bhi teri aahat per
~*~*~*~*~*~*~*~*
ab bhi teri aahat per aas lout aati hai
askh hum bahatey hain ab bhi teri aahat per...!!!
askh hum bahatey hain ab bhi teri aahat per...!!!
~*~*~*~*~*~*~*~*
Comment