WO DONO KIYUN NAHI AATEY
Samander poochta hai ab wo dono kiyun nahi aatey
wohi donno jo bhegee rait per
ek dosarey ka haath thammay door taak
kabhi hanstey,kabhi kuch gungunatey
ya kabhi chup chap bhiatay duur ufaq ki gaud may
rooposh honay walla sooraj dekhttey
ansoo bhahattey loat jattey!
Samander poochta hai ab wo donno kiyun nahi aatay
jo aatay thay to apnay saath kitnay khuwab latey thay
kabhi sahil say dehair'on Seepiyaan chuntey thay
Nangay paoo pani may chaley aatey thay
bhegi rait say nannay gharondhay bhi banatey thay
aur unmay seepiya,rangeen say kuch sangreezay yu sajatey thay
kay jaisay aj kay jugnoo say lamhay
anay waley kal ki moothhi may chupattey thay!
Samander poochta hai ab wo donno kiyun nahi attay
mager samander nay khiza ki siskiya laita howa
ek shaam ko wo nojawanno ko nahi dekha
jo dair tak tanha sarey sahil raha bhaitta
phir ussnay dair sarey khatt
buhut say phool sookhay aur tasveeray
aur apnay akhri ansoo
samander kay hawalley kerdiye.

Comment