apni hasti bhool janey ke liye tayaar hain
dard seh kar muskuraney ke liye tayyar hain
aap agar parda uthaney ke liye tayyar hain
ham bhi apna funn dikhaney ke liye tayyar hain
pichley zakhmon ke nisha'n mit na sake to kia hua
phir se taza zakhm khaney ke liye tayyar hain
shart yeh hai lootney wala hasee'n ho aap sa
ham mataa e jaa'n lutaney ke liye tayyar hain
maujza ho jaye gar mujh ko khabar ik din miley
wo mujhey apna bananey ke liye tayyar hain
saj rahey hain ja baja maqtal naye to kia huwa
ham bhi Yasir sar kataney ke liye tayyar hain

Comment