chiragh-e-shab tha ya aaftaab na dil samajh saka na meiN
wo taabeer thi ya mehz khuwaab na dil samajh saka na meiN
wo nazar jo tamaam umar jhuki jhuki hi rahi
merey liye thi betaab na dil samajh saka na meiN
sab se anjaan apni hi dhun mein khoya khoya sa magar
wo tha khuli kitaab na dil samajh saka na meiN
wo jaan-e-mehfil jo mujh se ghaafil par meri hi amad ka
rakhta tha barha hisaab na dil samajh saka na meiN
meri talkhiyun ko sehna merey tanz pe muskuraana
wo shakhs tha la jawaab na dil samajh saka na meiN

Comment