Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

::::Jums Ka Intikhaab::::

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: My Choice Ashaar

    bohat hi khooob hai apki choice

    :rose

    Comment


    • #47
      Re: My Choice Ashaar

      nice

      Comment


      • #48
        Re: ::::Jums Ka Intikhaab::::

        tera hijr bara bad zat
        maire pair gaye sab jal
        maire sookh gaye sab phal
        maire sapne ho gaye shal
        koi bhej dukhon ka hall
        maier ujar gaye sab shehar
        mairi rag rag andar zehr
        maire dill ke andar thal
        mairi aankhon main barsat
        taira hijr bada bad zat


        main phira bahut ghar ghar
        koi khola mila na dar
        abhi urta aur magar
        maire zakhmi ho gaye par
        maire kale hoye naseeb
        maire hisse aai saleeb
        maire dill se jaye na dar
        maire sar se kate na raat
        taira hijr bada bad zat


        jab badal gaye halat
        lagi qadam qadam par ghaat
        har simtbikhar gaye haat
        tairi khatir badl zat
        kia suraj ko bhi raat
        taira ishq bara bad zaat

        Comment


        • #49
          Re: ::::Jums Ka Intikhaab::::

          Originally posted by jums View Post
          tera hijr bara bad zat
          maire pair gaye sab jal
          maire sookh gaye sab phal
          maire sapne ho gaye shal
          koi bhej dukhon ka hall
          maier ujar gaye sab shehar
          mairi rag rag andar zehr
          maire dill ke andar thal
          mairi aankhon main barsat
          taira hijr bada bad zat


          main phira bahut ghar ghar
          koi khola mila na dar
          abhi urta aur magar
          maire zakhmi ho gaye par
          maire kale hoye naseeb
          maire hisse aai saleeb
          maire dill se jaye na dar
          maire sar se kate na raat
          taira hijr bada bad zat


          jab badal gaye halat
          lagi qadam qadam par ghaat
          har simtbikhar gaye haat
          tairi khatir badl zat
          kia suraj ko bhi raat
          taira ishq bara bad zaat

          wahhhhhhhhhhhh

          bohat hi khooooooooooooooob

          Comment


          • #50
            Re: ::::Jums Ka Intikhaab::::

            KACHAY DHAAGAY



            Kachay Dhaagay Toot Gay Hain
            Moosam Aa Key Rooth Gay Hain

            Jin K Sang Bandhey Theay Hum Tum
            Lamheay Peechay Chooth Gay Hain


            Sehra Khatam Nahi Hoo Paya
            Paoon K Chaalay Phoot Gay Hain


            Jin Ko Rakhwali Per Choora
            Saara Gulshan Loot Gay Hain


            Uss Ka Assli Roop Jo Daikha
            Saaray Sapnay Toot Gay Hain

            Comment


            • #51
              Re: ::::Jums Ka Intikhaab::::

              Dhoka
              Zindagi Main Hai Dhoka Is Ke Siwa Kuch Nahi
              Tamashaei Hai Yeh Dunya Is Ke Siwa Kuch Nahi



              Meri Zindagi Se Pochiye Zindagi Kia Hai
              Zindagi Hai Aik Khuwaab Is Ke Siwa Kuch Nahi


              Khushiyan Hain Lakhon Is Dunya Main Magar
              Udasi Hai Mere Dil Main Is Ke Siwa Kuch Nahi


              Mujh Se Jo Log Bhi Mile Hain Khush Hokar
              In k Dilon Main Hai Nafrat Ke Siwa Kuch Nahi


              Wade,Karte Hai Log Magar Jante Nahi Wafa Karna
              Bewafai Hey Is Dunya Main Is Ke Siwa Kuch Nahi


              Pal Main Jisse Chaha Usse Pal Main Bhula Diya
              Yeh Khel Hey Dunya Ka Is Ke Siwa Kuch Nahi


              Tum Ko Chaha Hey Magar Kuch Bhi Nahi Socha Ke
              Dunya To Hai Eik Sarab Is Ke Siwa Kuch Nahi

              Comment


              • #52
                Re: ::::Jums Ka Intikhaab::::

                DIL KEY QISSAY


                Dil Key Qissay Ajeeb Hootay Hain
                Her Qaddam Per Habib Hootay Hain

                Shaam Dheltay Hee Chandni Phaili
                Yaad Key Gham Ajeeb Hootay Hain
                Phool Ka Rishta Jaisay Khushboo Say
                Youn Woo Dil Key Qareeb Hootay Hain

                Jin Key Lehjay Main Hoo Maseehai
                Aisay beh Kuch Tabib Hootay Hain

                Kuch Aisey Loog B Jahaan Main Hain
                Khud Jo Apnay Raqeeb Hootay Hain

                Jin Ko Apnay Samajh Nahi Paatay
                Woo Bahoot Badd Naseeb Hootay Hain


                Last edited by جنیداختر; 8 February 2007, 00:10.

                Comment


                • #53
                  Re: ::::Jums Ka Intikhaab::::

                  :)
                  Attached Files

                  Comment


                  • #54
                    Re: ::::Jums Ka Intikhaab::::

                    Originally posted by jums View Post
                    Dhoka

                    Zindagi Main Hai Dhoka Is Ke Siwa Kuch Nahi
                    Tamashaei Hai Yeh Dunya Is Ke Siwa Kuch Nahi



                    Meri Zindagi Se Pochiye Zindagi Kia Hai
                    Zindagi Hai Aik Khuwaab Is Ke Siwa Kuch Nahi


                    Khushiyan Hain Lakhon Is Dunya Main Magar
                    Udasi Hai Mere Dil Main Is Ke Siwa Kuch Nahi


                    Mujh Se Jo Log Bhi Mile Hain Khush Hokar
                    In k Dilon Main Hai Nafrat Ke Siwa Kuch Nahi


                    Wade,Karte Hai Log Magar Jante Nahi Wafa Karna
                    Bewafai Hey Is Dunya Main Is Ke Siwa Kuch Nahi


                    Pal Main Jisse Chaha Usse Pal Main Bhula Diya
                    Yeh Khel Hey Dunya Ka Is Ke Siwa Kuch Nahi


                    Tum Ko Chaha Hey Magar Kuch Bhi Nahi Socha Ke

                    Dunya To Hai Eik Sarab Is Ke Siwa Kuch Nahi
                    zabardast.....:clap: :clap: baake sab bhi bohot ache hai....v.nice choice....:thmbup:
                    sigpic


                    Comment


                    • #55
                      Re: ::::Jums Ka Intikhaab::::

                      tera hijr bara bad zat
                      maire pair gaye sab jal
                      maire sookh gaye sab phal
                      maire sapne ho gaye shal
                      koi bhej dukhon ka hall
                      maier ujar gaye sab shehar
                      mairi rag rag andar zehr
                      maire dill ke andar thal
                      mairi aankhon main barsat
                      taira hijr bada bad zat



                      bauht khoob :tasali: .................

                      Comment


                      • #56
                        Re: ::::Jums Ka Intikhaab::::

                        HAMSAFAR
                        yeh bhi mujh per ehsaan kia hay tum nay
                        hamsafar gham jo mohabbat may dia hay tum nay
                        jab bhi takraaiee mairay jism se yeh shohk hawa
                        mujh ko mehsoos hooa yeh keh chooa hay tum nay
                        aik muddat say issi din ki thi hasrat dil may
                        aaj main khush hoon keh deewani kaha hay tum nay
                        kia meray dil ki dharakhnay ki hi awaz hay yeh
                        ya yeh phir kaan may kuch aa ke kaha hay tum nay
                        hichkiyaan bhi to kambakht nahi aati hain
                        jo yeh sochoon keh mujhay yaad kia hay tum nay

                        Comment


                        • #57
                          Re: ::::Jums Ka Intikhaab::::

                          "Pa Na Saka us Ko
                          Per bhoola bhi na saka
                          dard kuch esa tha
                          ka Kesi ko bata bhi na saka
                          Ashq-e-laho bahney ka siwa
                          Main Kuch kar bhi na saka
                          =========================
                          jaha se chala tha
                          wapis wahe agya
                          Mhuthi jab khuli To hathon mein kuch na tha
                          Apni bebasi per hasney ka siwa kuch na tha
                          =========================
                          Alam-e-dard itna tha
                          Ka yeh dard-e-dil bhi sah naa saka
                          Dil-e-nashemann mein jo aag thi
                          usey kio samandar bhojha bhi na saka
                          =========================
                          Piyaasa Ek shaks tha
                          usey kio pani pila na saka
                          Pass samandar-e-pani tha
                          Per kio us ki piyaas bhojha na saka
                          =========================
                          Bohat sadayein di us ko per woh a na saka
                          Gaya tha jo chor kar Meri aghaz-e-barbadi mein
                          Meri Awaz-e-sadao mein woh Asar hi naa tha
                          Jabhi to meri sadayein sun kar bhi woh a na saka
                          =========================
                          ab to halat-e-dard ka alam yeh tha
                          Palkon per ek aanso ka bondh a na saka
                          Aankhein-e-nam mein bhi
                          Aanso baha na saka
                          ==========
                          Tariq Ki ghazal mein woh kashish-e-asar hi na tha
                          Tabhi to woh ghazal perh kar bhi tariq ka pass a na saka

                          Comment


                          • #58
                            Re: ::::Jums Ka Intikhaab::::

                            Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
                            Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
                            Din Raat Daudti Duniya Mein,
                            Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

                            Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
                            Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
                            Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
                            Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

                            Saare Naam Mobile Mein Hain,
                            Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
                            Gairon Ki Kya Baat Karen,
                            Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

                            Aankhon Me Hai Neend Badee,
                            Par Sone Ka Waqt Nahi.
                            Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
                            Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

                            Paison ki Daud Me Aise Daude,
                            Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
                            Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
                            Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

                            Tu Hi Bata E Zindagi,
                            Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
                            Ki Har Pal Marne Walon Ko,
                            Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.....

                            Comment


                            • #59
                              Re: ::::Jums Ka Intikhaab::::

                              Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
                              Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
                              Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
                              Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
                              Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko
                              Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
                              Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
                              Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi
                              Kis kii majaal kahe koi mujh ko deewana
                              Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

                              Comment


                              • #60
                                Re: ::::Jums Ka Intikhaab::::

                                Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao
                                Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao
                                Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki
                                Bhot Aasaan ho, thory Bhot dushwaar ho jao
                                Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai
                                Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao
                                Main Kesi Chal chalati Dhoop ke Sehra Se aya hoon
                                Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao
                                Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho
                                Na Aay Esa Din , Tum isqadar Nadaar ho jao
                                Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hai
                                Meri itni Duaa hai Kaash tum Funkaar ho jao

                                Comment

                                Working...
                                X