Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Suno

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Suno

    suno,
    tum laut aao na

    wo dekhu chand nikla hai

    sitary jagmagaye hain

    hamari muntazir ankhain

    duain mangty ankhain

    tumain hi sochty ankhain

    tumain hi dhondty ankhain

    tumain wapis bulaty hain

    ye dil jub bi dharakta hai

    tumhara naam leta hai

    ye ansu jub bi behtay hain

    tumhary dukh mai behtay hain

    k barish jub bi hoty hai

    tumain hi yad kerty hain

    khushi koi bi ajaye

    tumahary bin adhuri hai

    suno,
    tum laut aao na

    suno,
    tum laut aoo na:rose

  • #2
    Re: Suno

    bohat he khoooooooooobbbbb..

    Comment


    • #3
      Re: Suno

      Zabardast Sajid sahib!

      plz aap poet ka nam zaroro likha karein
      agar maloom ho tu !!
      :) ......
      Keep on sharing good poetry!

      Comment


      • #4
        Re: Suno

        thx

        Comment


        • #5
          Re: Suno

          bohat he khooobb

          Comment


          • #6
            Re: Suno

            suno tum loat ao na :)

            bohat khoob one of my fav
            thanks for sharing

            khush rehain

            Comment


            • #7
              Re: Suno

              boht zabar dast janb

              plz muje poet ka naam batain

              Comment


              • #8
                Re: Suno

                AAP K LIYE SAJID

                Yun dost saarey apney apney rastey badal gaey
                kuch peechey ruk gaey to kuch aagey nikal gaey

                haalaat ki dhoop zaraa si deir ko teiz kya hui
                jitney wafaa ke peikar they saarey pighal gaey

                waadoN ke taarey raatoN sey baahar na jaa sakey
                iraadoN ke din nikalney sey pehley hi dhal gaey

                wafaaoN ke rang shabnam ke qatroN ney dho deeye
                mohabbat ke phool jazboN ki 'shiddat' sey jal gaey

                taanoN ke teer dunya ki kamaanoN pe jab charrhey
                sabar ke daaman haathon sey yak'dam pisal gaey


                aaNkheiN khuleiN to khaaboN ko bura laga magar
                kuch deir wo reh ke muztarib khud hi behal gaey

                pehley pehal to ajeeb lagey badley huwey chehrey
                phir yun huwa ke waqt ke saath hum bhi sambhal gaey

                Comment


                • #9
                  Re: Suno

                  Tum nay kaha tha agar kabhi hum

                  bichar gaay tu aisa kerna

                  dil main piyar kay jugnoo bhar kay

                  mujh ko kuch paal dhondtay rehna

                  dekhna main phir loot aoon ga

                  TUM yeh kah ker chalay gay thay

                  lakin teri khooj main abb tak

                  main aur jugnu bhatak rehay hain txx
                  Last edited by sajid mahmood; 7 May 2009, 14:27.

                  Comment

                  Working...
                  X