Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Pagli......

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Pagli......

    Salam Dosto,

    kuch din pehlay, hum nay Mazah ke Section main KAMLI ke subject say ek post ki thi. wo ek perfect thee us section ke liye, or yeh main samaghta hoon keh yahan ke liye fit ho gee (agar naheen to sorry.....:donno:)

    Khair..... enjoy karain, yeh zahan main rukhtay huye keh na to yeh humaari likhi huyee hai, or PAGLI ki jugah poet nay Lafz Mohabbat istimaal kia tha...... jab bhee meray dost issay kaheen or istimaal karain, ya issay mehfooz karain to orignal main karain...


    kaha kerti ho tum aksar
    mujhey ek nam aisa do
    pukaro jis sey tum mujh ko to yun
    mehsoos ho jaisay
    tumhari shairai sari
    meri tareef thehri hai
    jissay sun ker
    main khawabon ki si kafeeyat main kho jaon
    hawaon main uroon jaisay
    jissay sun ker yeh dil kiya rooh tak sarshar ho jaye
    jisay sun ker meri tashna labi seerab ho jaye
    jissa sun ker lagay aisay kay barish jaisay phhlon ki
    badan ke her kali jaisay ba-andaaz-e-zikar mehkay
    jissay sun ker lagay aisay
    key madham sey meethay surron main teerta meetha mahdur naghma
    guzartay waqt key lamhay jissay sun ker thehar jayen
    saman madhosh ho jaye
    jissay sunker baharain jatey jatey phir sey loot ayen
    mujhey ek naam aisa do"
    so ay meharban larki!
    main aksar sochta hoon koi aisa naam tum ko doon
    key jo mansoob ho tum sey
    to tum ko javeedan ker day
    ho koi nam aisa jo
    mujasma-e-hussan-e-fitrat ho
    buhat hi khoobsurat ho
    kisi nazuk pari jaisa......
    key jo hussan-e-jahan rang-o-boo ka istarra ho
    teray malkooti peekar ko magar tashbeeh kis sey doon
    agar main gul kahon tum ko?
    magar phhool tu murjha ky aakhir sokh jatey hain!
    agar tara kahon tum ko?
    sitarey toot ker laiken fiza main kho jatey hain!
    kahon qaus-e-kaza laiken?
    sabhi rang ekthay mil ker bhi,
    tere ruuh sey chhalkti noor ki kirno ko na punchay!
    hinna ka naam don tum ko?
    magar rang-e-hina tu char din main roth jata hai!
    agar badal kahon tum ko?
    ghataon sey siwa laiken tere jazbat ki shidaat hai!
    tumhain sawan kahon kaisay?
    tumharey pyar ki barish tu her mausam barasti hai!
    naseem-e-subha keh doon ya kahon baad-e-saba tum ko?
    magar fitrat hawa ki tu azal sey bewafai hai!
    teri waraftgi sochon, samander ki lehar keh doon!
    magar mojjon ki tughiyani tu ek thingyam ki shab tak hai!
    teri aankhain agar sochon'tumhain may ka badal keh doon!
    agar sayya kahon'jhoonka kahon'khushboo kahon tum ko?
    magar tum tu mujasma ho!
    buhat kuch sochta hoon main
    tumhara naaam kiya rakhon.....?
    kahon jadoo , chirag-e-raah ya manzil kahon tum ko?
    kahon main justju 'koshish kahon ya phir dil kahon tum ko?
    shafaq keh doon'sahar keh doon ya keh doon chandni tum ko?
    agar khawahish kahon ya arzoo ya zindagi tum ko?
    agar sahir kahon'nasha kahon ya be-khoodi tum ko?
    ada keh doon'wafa keh doon, haya keh doon agar tum ko?
    agar sahil kahon'kashti kahon ya nakhudha tum ko?
    agar taqdeer ya inaam ya kismat kahon tumko?
    agar guncha kahon' lala kahon ' nargis kahon tum ko?
    kahon main jaan ya jana ya jaan-e-jaan tum ko?
    agar jharna kahon'darya kahon'sagar kahon tum ko?
    kiran keh doon , ghata keh doon ya phir rim jhim kehon tum ko
    agar jugnu keh dthingy, shaula kahon' shabnam kahon tum ko?
    agar sheesha kahon' moti kahon 'reesham kahon tum ko?
    yeh sarey naam teri zaat key pehlu sehi laiken________
    magar jachta nahin koi yeh sarey naam fani hain!
    tumhara nam aisa hi..........
    jo tum ko javidan ker day
    tumhain poora bayan ker day
    suno ay meharban larki!
    buhat hi soch ker main ney
    tumhara naam rakha hai

    "Pagli"____naam___ kaisa hai ?




    Muhammad Saeed
    Known as Pagla, (Pagla, The Sound Of One Hand Claping)
Working...
X