Barsoun k baad dekha, Aik shakhs Dilruba sa
Abh zehen mein nahi hai , per naam tha bhala sa
Ubro khiche khiche se, Aankhain jhuki jhuki se
Baatein ruki ruki se , Lehja thaka thaka sa
Alfaaz thay k Jugno, awaaz k safar mein
Bun jaye jungalon mein jaise k Raasta sa
Khawabon mein khawab Uss k, Yaadon mein yaad uss ki
Neendon mein ghul gaya ho jaise k rat-jaga sa
Pehle bhi zindagi mein, kitne he loug Aaye
Wo her tarha se lekin, auron se tha juda sa
Agli muhabton ne, wo na-muraadian dein
Taaza Rifaaqaton se, Dil tha dara dara sa
Kuch yeh k muddaton se, Hum bhi nahi thay roye
Kuch zeher mein bujha tha, ahbaab ka dilasa
Abh such kahein tu yaro, Hum ko khaber nahi thi
Bun jaye ga qayamat, Aik waqaya zara sa
Tewer thay berukhi ke, andaaz dosti ke
Wo ajnabi tha laikin, lagta tha Aashna sa
Comment