Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kuch aannkh milanay se

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kuch aannkh milanay se

    Kuch aankh milanay se,kar le hai nazar zakhmi
    kuch roog laganay se,kar baithay jigar zakhmi

    akhbaar ki har surkhi,u surkh lagi har din
    satroun k badan chalni,alfaaz k sar zakhmi

    tasveer-e-tasawwur par,keun dhool ki chadar hai
    ye sooch k kar baithay,sochoun ka safar zakhmi

    chahat ki musafat main,kaisa hai ye douraha
    tum ho k udhar zakhmi,hum hain k idhar zakhmi

    yaroun ki judai se,behtar hai k mar jaaen
    acha hai na ho paaen,pher shaam-o-sahar zakhmi

    sahaitaan k honay se,shaitaan maza lotain
    insaan k hathoun se,insaan hoa zakhmi

    hum unki jafaoun par,ehsaan tu kar jatay
    douraan-e-wafadari,hotay na agar zakhmi

    kia khoob nizamat hai,arbaab-e-hakomat ki
    mazdoor kisaan nalaan,taleem-o-hunar zakhmi

    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!
Working...
X