Khan Khan's entry
Tabiyat ka ajab aalam hai behlai nahi jati
bhari mehfil hai lekin dil ki tanhai nahi jati
muhabbat bandagi hai jalwa husn-e-haqeqi ki
magar ye baat nadanoun ko samjhai nahi jati
samjh main kuch nahi aata sambhalain kia tabiyat ko
ye zalim aise uljhi hai k suljhai nahi jati
nahi hai bas kise k ishq ki shola-fishani par
bharak uthtii hai khud ye aag bharkai nahi jati
ghamoun se dil ka shesha laakh gard-aaloud hai lekin
es aaenay se teri jawal-aarai nahi jati
shikasta dil kise dushman ko bhe daikha nahi jata
jo hum se ban paray wo baat thukrai nahi jati
haqeqat ek na ek din aashkaar ho k rehti hai
sadaqat Bazm jhutlanay se jhutlai nahi jati

Comment