Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Dikhne main mesl-e-hoor hai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Dikhne main mesl-e-hoor hai

    Dikhne main mesl-e-hoor hai
    chehra bara pur noor hai

    kehte hain sab maghroor hai
    mujh ko pata majboor hai

    chup chup ke woroti hai kyon
    kam kam si wo soti hai kyon

    kis dard pe mamoor hai
    mujh ko pata majboor hai

    milna use pasand hai
    riwaaj ki paaband hai

    esi liye tho door hai
    mujh ko pata majboor hai

    aya hai eshq ka mosam
    hawa chali madham madham

    ab zindagi masroor hai
    mujh ko pata majboor hai

    aakhir use ehsaas hai
    har pal wo mere paas hai

    dono ko yeh manzoor hai
    mujh ko pata majboor hai
    ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

  • #2
    Re: Dikhne main mesl-e-hoor hai

    Bohat khoob.
    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

    Comment

    Working...
    X