Apne qaraar-o-qoul bholaey hoey ho tum
naqsh-e-wafa ko dil se mitaey hoey ho tum
pehle meri hansi main raha karte thay shareek
ab meray aanso'oun main samaey hoey ho tum
awwal meri wafa k arman thay tumhi
ab khud wafa se haath uthaey hoey ho tum
bazi thi jis bisaat par apni jami hoe
naqsha kuch aur es pe jamaey hoey ho tum
ghairoun ka kia gila k wo kambakht ghair hain
afsoos apnay ho k paraey hoey ho tum
posheda kia nazar main koe raaz hai naya
meri taraf se aankh choraey hoey ho tum
rehnay lagay ho saamnay meray kuch es tarha
jaisay kise ko mujh se chopaey hoey ho tum

Comment