Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kisi ki Yaad mai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kisi ki Yaad mai

    Kisi ki Yaad me palke zara bhago lete hain
    Udas raat ki tanhai me roh lete hain

    Dukhon ke bhoj akele nahi sambhalta
    Kahin wo milte to us se lipat kar roh lete

    Agar safar me hamara bhi humsafar hota
    Badi khushi se inhi patharo par soh lete

    Yeh kya ke roz wohi chandni ka bistar ho
    Kabhi dhoop ki chadar bacha kar soh lete

  • #2
    Re: Kisi ki Yaad mai

    WoH CeEhRa

    Apni Nazroon se jo gir jaye woh chehra na bana
    Mujh ko lamhe-a-fursat ka khilona na bana

    Saink'roon rastey hain ajnabi ho janey ke
    Tark karna hai tou talook ka bahana na bana

    Jhoot ehsaas ki qandeel ko boojha deta hai
    Muhjey insaan samja khud ko farishta na bana

    Apni yaadein tu mere dil main basi rehne dey
    Is mehaktey huay gulzaar ko sehra na bana

    Mein tu pehle hi zakhum liye phirta hoon
    Muhjey aab shehar dard-e-tamasha na bana

    Thak gaeen hain mere ehsaas ki aakhain
    Nqash-e-deewar per aab koi afsana na bana

    Comment


    • #3
      Re: Kisi ki Yaad mai

      Ajj bahot din bade suni hai barish ki awaz
      Ajj bahot din bade kisi manzar nay rasta roka hai
      Aur rim jhim ka malbos pehen ker yad kisi ki ayi hai
      Ajj bahot dinon bade ankh yon hi bhar ayi hai
      Ankh aur manzar ki wussat main charon janib barish hai
      Aur barish main dor kahin aik ghar hai jis ki
      Aik aik eenth per tery mery khawab likhy hain
      Aur us ghar ko jany wali kuch galiyan hain
      Jin main hum donon k saye tanha tanha bheeg rehy hain
      Darwazy per kufal pera hai aur dareechy suny pery hain
      Diwaron per jami kaai main chup ker
      Mosam hum ko dekh rehy hain
      Kitny badal hum donon ki ankh say ojhal
      Bars bars ker guzer chuky hain
      Aik nami si
      Aik kami si
      Charon janib phail rehi hai
      kaee zamany aik hi pal main
      Bahum mil ker bheeg rehy hain
      Ander yadyn sokh rehi hain
      Baher manzar bheeg rehy hain

      Comment


      • #4
        Re: Kisi ki Yaad mai

        oho buhat afsoos hay
        [FONT="Arial Black"]Mr. Khalil How much Fake IDs would you make in Pegham... ?

        See you Real Face in here 372-shed

        Muhammad Khalil's Real Face [/FONT]

        Comment


        • #5
          Re: Kisi ki Yaad mai

          waah bahot khoobsurat sharings
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: Kisi ki Yaad mai

            Nice sharing chiips

            Comment


            • #7
              Re: Kisi ki Yaad mai

              very niceee

              Comment


              • #8
                Re: Kisi ki Yaad mai

                nice sharingz

                Comment


                • #9
                  Re: Kisi ki Yaad mai

                  Originally posted by Eshak View Post
                  oho buhat afsoos hay
                  apne per kya janab:mm:

                  Comment


                  • #10
                    Re: Kisi ki Yaad mai

                    Originally posted by WASI ANJUM View Post
                    waah bahot khoobsurat sharings
                    thanks :rose

                    Comment


                    • #11
                      Re: Kisi ki Yaad mai

                      Originally posted by kutkutariyaan View Post
                      Nice sharing chiips
                      thanks janab :rose

                      Comment


                      • #12
                        Re: Kisi ki Yaad mai

                        Originally posted by Rabia Basri View Post
                        very niceee
                        thanks :rose

                        Comment


                        • #13
                          Re: Kisi ki Yaad mai

                          Originally posted by Samina View Post
                          nice sharingz
                          thanks dear :rose

                          Comment


                          • #14
                            Re: Kisi ki Yaad mai

                            Yaadein teray khuloos ki dasti hain aaj bhi
                            Milnay ki arzoo mein tarasti hain aaj bhi
                            Aankhein hazaar zabt ki koshish kay bawajood
                            Ruk ruk kay baar baar barasti hain aaj bhi

                            Comment


                            • #15
                              Re: Kisi ki Yaad mai

                              Intezar bhi uss ka hudd say ziada kiyaa
                              Pyar bhi uss say bey panah kiyaa
                              Khuwab bhi bohat dikhaye thay uss nay
                              Lekin! beech safar mein he chor diyaa"

                              "Roz subha khud say aik waada kartay hain
                              Tujhay iss dil say bhulanay ka irada kartay hain
                              Apni he baat say mukkarr jatay hain maloom nahi kyoun
                              Bheegti ankhon ko khuwab tornay keliye amaadah kartay hain"

                              "Koi kabhi un chehron ko parhay
                              Jo afsaanon ki tarha hotay hain
                              Woh ankhein jin mein shokhion ki jagha
                              Gehray gehray samandar hotay hain
                              Woh hont jin hon nay hansi ki bajaye
                              Chup ki chaadurain orhi hoti hain
                              Woh dil jin mein hazar khuahishain nahi
                              Tootay huway armaan chupay hotay hain"

                              "Beymaainay hotay hain woh lamhay jub tum paas nahi hotay
                              Lagtaa hai mujhay aisay ke zindagi tehr gayee ho jaisay
                              Aasman bhi beyrounuq sa lagtaa hai mujhay ke
                              Kisi nay chand taaron ki roshni chura lee ho jaisay"

                              "Sitaron ke bagher asmaan mein rakha hai kia?
                              Bin teray jeenay mein rakha hai kia?
                              Lagta hai sub kuch adhoora adhoora sa
                              Khushi ke baghair hansnay mein rakha hai kia?"

                              "Jitna tum ko chaaha tha hum nay
                              Utnaa kisi ko chaah na sakay
                              Socha tha bhool jaaingay kabhi na kabhi
                              Lekin najaanay kyoun bhulaa na sakay
                              Honton nay to chupa liye armaan dil ke
                              Lekin ankhon say chupa na sakay"

                              Comment

                              Working...
                              X