Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
~ R oC k iN's ~ FaVouR!Te ~
Collapse
X
-
Re: Main ApnA Aaj
Originally posted by R oC k iN View PostMain Apna Aaj apNa kal Tumhare Naam KerTa houn
Main is Jeewan ka Her Ek Pal Tumhare naam Kerta Houn
Khazan, SerDiyan ,Germi,BaHarean,BaRi shean, JaRa
Mian Her muasaam Ka Her Her PaL Tumhare Naam kerTa Houn
Sitaray,Titliyan,Jug noo,Gull-O-BullBull,Dhanak,Khushbo
Yah sare Husaan kie Chall Ball Tumhare Naam Kerta Houn
Mera Guzera Hua Kal Tu mere mazi Ka Hisa hay
Main Apna Aaj apNa kal Tumhare Naam KerTa Houn
Tumhare Bin yah her Ek pal Mughay Bechean RakhTa Hay
Main Apna Dil jo hay Bekal Tumhare Naam kerta Houn
Barsta Bhigta Muasaam hay Kamzori mere LaKen
Main yah Sawan,Ghata,BaDal Tumhare Naam kerta Houn
Comment
-
ABH k yOun
Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay
Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay
Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay
Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay
Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay
Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh
Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay
Koi To Baat Hia Us Main " .... "
Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay
sigpic
ForEvr
Comment
-
AankHOun kA RanG
aaNkhoN ka rang, baat kaa lahjaa badal gaya
vo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gaya
qadmoN tale jo ret bichii thii vo chal paRi
us ne chuRaayaa haath to sehraa badal gaya
ek sar-khushii kii mauj ne kaisaa kiyaa kamaal
vo be-niyaaz, saare kaa saaraa badal gaya
hairat se saare lafz use dekhte rahe
baatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gaya
shaayed vafaa ke khel se uktaa gayaa thaa vo
manzil ke paas aa ke jo rastaa badal gaya
manzar kaa rang asl meN saya tha rang ka
jis ne use jidhar se bhi dekha badal gaya
andar ke mausamoN ki Khabar us ki ho gayi
us nau-bahaar-e-naaz kaa chehra badal gaya
aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gaye
vo muskuraayaa aur meri duniya badal gaya
sigpic
ForEvr
Comment
-
EsSe cHup Hein
EsSe chup hein k yeh manzil bhi kari ho jaise
tera milna bhi judai ki ghari ho jaise
apne hi saaye se har Gaam laraz jata houN
raste mein koi divaar khari ho jaise
manzilein Duur bhi hein manzilein nazadik bhi hein
apne hi paOun mein zanjir pari ho jaise
kitne nadaan hein tere bhulne vaale k tujhe
yaad karne k liyeh Umr pari ho jaise
Aaj DiL khol k rOye hein tu youN Khush hai 'Faraz'
chand lamhoun ki yeh raahat bhi bari ho jaisesigpic
ForEvr
Comment
-
Re: wO kAisa sHaks
Originally posted by r Oc K In View Postwo Kaisa Shaks Hai K Her Rooz Saza Deta Hai
phir Hansta Hai Wo Itna K Sab Bhula Deta Hai
kabhi Jo Roo De To Mujh Ko Bhi Bhool Jata Hai
aur Phir Bhool K Mujh Ko Bhi Rula Deta Hai
humare Pas Na Aane Ki Kasam Kha Ker Wo
"aaja" Likhta Hai Wo,kaghaz Pe Urra Deta Hai
usse Poocho K Bata Kis So Muhabat Hai Tumhein
naam Sargooshi Mein Mera He Suna Deta Hai
kabhi Kehta Ha Chaloo Sath Hamesha Mere
chal Paroun Sath To Rasta He Phira Deta Hai
khud He Kehta Hai Na Dhohrao Purani Yaadein
main Na Dhohraoun To Phir Khud He Suna Deta Hai
khud He Likhta Hai K Jazbaat Mein Hulchul Na Karo
aur Phir Khud He Naye Aag Laga Deta Haibohat Udaas Hai Koi Terey Jane Se
Ho Sake To Laout Kay Aa Kisi Bahane Say
Too Laakh Khafa Sahi Magar Ek Bar To Daikh
Koi Toot Sa Gaya Hai Tere Rooth Jane Say
Comment
Comment