Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kaghaz se Qalam Sar na utha aur abhi aur

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kaghaz se Qalam Sar na utha aur abhi aur

    kaghaz se qalam sar na utha aur abhi aur
    likh manqabat sher-e-khuda aur abhi aur

    yeh gohar-e-midhat hai buhat ashraf-o-aala
    chun ker isse palkon pe saja aur abhi aur

    bedar rakho apni samaat sar-e-mehfil
    parhte raho tum sal-e-ala aur abhi aur

    soorat mein farishton ki mohabbat mein ali ki
    aaen ge yahan ahl-e-wila aur abhi aur

    yeh barh-wen haider ki hai amad ka zamana
    kuch dair karo dil se dua aur abhi aur

    bughz-e-asad-ul-allah mein jal jal ke bila-akhir
    kuch hogaye kuch honge fana aur abhi aur

    haider ki mohabbat mein jo kafir kaha un ko
    khush ho ke nusairi ne kaha aur abhi aur

    milte raho chehre pe mere yunhi azizon
    ghazi ki tarah khak-e-shifa aur abhi aur

    mein barish-e-midhat ka nahi qatra akhir
    barse gi yeh midhat ki ghata aur abhi aur

    marqad mein ali aae hain ruk jao farishton
    lene do ziarat ka maza aur abhi aur

    dawa hai mohabbat ka ager ibn-e-ali se
    barhti rahe matam ki sada aur abhi aur

  • #2
    Re: Kaghaz se Qalam Sar na utha aur abhi aur

    Well main aap ko Pegham ki mehfil mein tah-e-dil sey khushAamdeed kehna chahta hoon aur saath hi saath aap key zoq ki daad deta hoon :rose.

    Aap sey iltimaas hai keh Pegham key forums key hawaley sey postings kijiye - yeh post Bazm-e-Shairi mein honi chahiye.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    Working...
    X