Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

    Aankhoun ki tarha raaz hai,khulta bhe nahi wo
    sailaab bhe ban jata hai,dariya bhe nahi wo
    us shaks k pehlo main sakon kitna hai jub k
    girja bhe nahi,mandir bhe nahi,kaaba bhe nahi wo
    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

    Comment


    • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

      Saat soroun ka behta dariya teray naam
      har sor main rang dhanak ka teray naam

      surkh gulaab k saray mousam teray naam
      har subha ka pehla ujala teray naam

      teri yaad ka behta dariya meray liye
      behti jheel main phool kanwal ka teray naam

      jitnay khawaab khuda ne meray naam likhay
      in khawaboun ka resha resha teray naam

      teray bina jo umar beti beet gaae
      ab es umar ka baqi hissa teray naam
      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

      Comment


      • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

        Meri rooh main jo utar sakain
        wo muhabbatin mujhay chahiyen
        jo saraab hon na azaab hon
        wo rafaqatain mujhay chahiyen
        inhi sa'atoun ki talaash hai
        jo calendaron se utar gaaen
        jo waqt k saath gozar gaaen
        wohi fursatain mujhay chahiyen
        jo meri shaboun k charaagh thay
        jo meri umedoun k baagh thay
        wohi loog hain meri aarzo
        wohi soratain mujhay chahiyen!!!
        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

        Comment


        • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

          Waqt ne sikhaya hai
          waqt k samandar main
          dukh k sub jazeroun par
          saray karway lamhoun main
          umar jub gozaro gay
          tum bhe seekh jao gay
          dhoondhna nahi aasan
          khoodna zarori hai
          bhaid-bharay logoun ko
          soochna zarori hai
          khoojna zarori hai
          tum bhe seekh jao gay
          waqt aisa aaya tu
          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

          Comment


          • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

            Pher ye mousam ye phool hon k na hon
            pher duaaen qabool hon k na hon
            zeest k zaviye badal jaaen
            qehqahay aanso'oun main dhal jaaen
            main bhatak jaaon tu badal jaaey
            gardish-e-waqt chaal chal jaaey
            pher ye mousam ye phool hon k na hon
            aap meray qareeb hon k na hon
            aap meray rafeeq hon k na hon
            pher ye lamhay naseeb hon k na hon
            aao ek dosray main kho jaaen
            subha honay tak tu so jaaen
            aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
            kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

            Comment


            • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

              nice one
              sigpic

              Comment


              • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                Originally posted by iiiiboyz View Post
                nice one
                Thanx......
                aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                Comment


                • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                  Badal gae hai ye zindagi ab sabhi nazaray badal gaey hain
                  kahen pe moujain badal gae hain kahen kinaray badal gae hain

                  badal gaya hai ab uska lehja ab us ki aankhain badal gae hain
                  wo chand chehra hai ab bhe waisa meray sitaray badal gae hain

                  mila hon tum se tu u laga hai k jaisay dono he ajnabi hon
                  kabhi jo mujh ko azeez jan thay wo tour saray badal gae hain

                  es liye bhe main sar jhuka tumhari nagri se chal para hon
                  tha naaz jin par kabhi mujhay bhe wo sub saharay badal gae hain
                  aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                  kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                  Comment


                  • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                    Tamaam umar azaboun ka silsila tu raha
                    ye kam nahi hamain jenay ka housla tu raha

                    gozar he aaey kise tarha teray dewanay
                    qadam qadam pe koe sakht marhala tu raha

                    chalo na ishq he jeta na aql haar saki
                    tamaam waqt mazay ka muqaabla tu raha

                    main teri zaat main gom ho saka na tu mujh main
                    bohat qareeb thay hum pher bhe faasla tu raha
                    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                    Comment


                    • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                      Wo eak shaks k manzil bhe,raasta bhe hai
                      wohi dua bhe,wohi hasil-e-dua bhe hai

                      main uski khooj main nikla hon saath le k charaagh
                      wo husn mujh pe ayan bhe hai aur chopa bhe hai

                      main dar-badar tha,magar bhool bhool jata tha
                      k ek charaagh darechay main jaagta bhe hai

                      khola hai dil ka darecha usi ki dastak par
                      jo mujh ko meri nigahoun se daikhta bhe hai

                      ye meri sarhad-e-jan main qadam dhara kis ne
                      k mehw-e-khawaab hon,aankhoun main rat jaga bhe hai
                      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                      Comment


                      • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                        After a Long Time...with sorry to friends

                        aab maray khooab ki tabeer main rakha kia hy
                        tu nahee to taree tasweer main rakha kia hy
                        shazoonadar hee koi shad raha hoo ga warna
                        siwa qorab k takdeer main rakha kia hy
                        Last edited by phonix_24; 22 March 2009, 13:27.

                        Comment


                        • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                          fasalay asay bhee hoongay yah kabhi socha na tha
                          samny beetha tha maray or woh mera na tha
                          woh k khushboo ki tarah pheela tha maray chaar soo
                          main usay mahsoos kar sakta tha choo sakta na tha
                          raat bhar pichlee see ahat kaan main ati rahi........
                          jhank kar dekha gali main koi bhee aya nahee.........

                          Comment


                          • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                            woh raha kahmosh to yah toor bhee acha laga
                            baat ki us nay to to woh or bhee acha laga
                            uskay chahray par bohot sajty thy kalay baal bhee
                            uskay baloo ka soonahree dour bhee acha laga
                            woh tasaub hy k shidat hy mohabat ki.........
                            woh laga acha tu uska jood bhee acha laga
                            Last edited by phonix_24; 22 March 2009, 13:31.

                            Comment


                            • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                              rookta bhee nahee theek say chalta bhee nahee hy
                              yah dil ky taray baad sanbhlta bhee nahee hy........
                              ik umar say hum uski tamna main hain bay khooab
                              woh chand jo angan main utarta bhee nahee hy
                              phir dil main taree yaad ka manzar hain............
                              asay main koi dakhny wala bhee nahee hy
                              is umar kay sahra say taree yaad ka badal
                              milta bhee nahee barasta bhee nahee hy

                              Comment


                              • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                                Khan Jee thanks and all other friends also
                                Last edited by phonix_24; 22 March 2009, 13:36.

                                Comment

                                Working...
                                X