Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

    SannaTe ki jheel

    Tujh se bichar kar bhi zinda tha
    mar mar ke zehar piya hai
    chup rehna aasaaN nahi tha
    barsoN dil ka khun kiya hai
    apne haal pe khud roya hun
    khud hi dil ka chaak siya hai
    jo kuch guzri, jaisi guzri
    tujh ko kab ilzaam diya hai
    kitni jaankahi se maiN ne
    tujh ko is dil se mehav kiya hai
    SannaaTe ki jheel mein tu ne
    phir kyuN paththar pheNk diya hai

    Comment


    • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

      bikharate TuuTate lamhon ko apanaa ham_safar jaanaa
      thaa is raah mein aaKhir hamen Khud bhii bikhar jaanaa

      havaa ke dosh par baadal ke Tukare kii tarah ham hain
      kisii jhonke se puuchhenge ki hai ham ko kidhar jaanaa

      mere jalate hue ghar kii nishaanii bas yahii hogii
      jahaan is shahar mein raushanii dekho Thahar jaanaa

      pas-e-zulmat koii suuraj hamaaraa muntazir hogaa
      isii ek vaham ko ham ne chiraaG-e-rah_guzar jaanaa

      dayaar-e-Khaamashii se koii rah-rah kar bulaataa hai
      hamen "Makhmoor" ek din hai isii aavaaz par jaanaa
      ___________________________________________

      Comments and Sharing Plz

      Comment


      • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

        Originally posted by phonix_24 View Post
        Aankhon se kaho khaamosh rahen...
        Ik doojay se hum bichar chale!
        Go aaj se bilkul ujar chale,
        ab jeewan hoga zindaan sa...
        ab yaadain roz satayen gi,
        ab saansain ruk ruk ayengi...
        ab raat ko dair se soyenge
        ab neend se uth uth royenge...
        per zabt hai ab laazim chanda!
        iss lamhe ashk bahao mat
        tum jee ko or jalaao mat..
        yeh zakhm-e-wafa chup chaap sahen
        aankhon se kaho khaamosh rahen!
        Originally posted by phonix_24 View Post
        SannaTe ki jheel

        Tujh se bichar kar bhi zinda tha
        mar mar ke zehar piya hai
        chup rehna aasaaN nahi tha
        barsoN dil ka khun kiya hai
        apne haal pe khud roya hun
        khud hi dil ka chaak siya hai
        jo kuch guzri, jaisi guzri
        tujh ko kab ilzaam diya hai
        kitni jaankahi se maiN ne
        tujh ko is dil se mehav kiya hai
        SannaaTe ki jheel mein tu ne
        phir kyuN paththar pheNk diya hai

        Originally posted by phonix_24 View Post
        bikharate TuuTate lamhon ko apanaa ham_safar jaanaa

        thaa is raah mein aaKhir hamen Khud bhii bikhar jaanaa

        havaa ke dosh par baadal ke Tukare kii tarah ham hain
        kisii jhonke se puuchhenge ki hai ham ko kidhar jaanaa

        mere jalate hue ghar kii nishaanii bas yahii hogii
        jahaan is shahar mein raushanii dekho Thahar jaanaa

        pas-e-zulmat koii suuraj hamaaraa muntazir hogaa
        isii ek vaham ko ham ne chiraaG-e-rah_guzar jaanaa

        dayaar-e-Khaamashii se koii rah-rah kar bulaataa hai
        hamen "Makhmoor" ek din hai isii aavaaz par jaanaa
        ___________________________________________


        Comments and Sharing Plz
        Xcellent!!as usuall....:rose
        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

        Comment


        • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

          Main es umeed pe doba k tu bacha le ga
          ab es k baad mera imtahan kia le ga

          ye eak mela hai wada kise se kia le ga
          dhalay ga din tu har ek apna raasta le ga

          main bujh gaya tu hamesha ko bujh he jaoun ga
          koe charaag nahi hon jo pher jala le ga

          kaleja chahiye dushman se dosti k liye
          jo be-amal hai wo badla kise se kia le ga

          hazaar toor k aa jaoun us se rishta Waseem
          main jaanta hon wo jub chahay ga bula le ga:)
          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

          Comment


          • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

            Mian pher palat k teri tamanna na kar sakon
            kuch es tarha se mujh ko judai bhe de kabhi
            larzan hain kub se aankh main ashkon k qaafle
            in qaidioun ko izn-e-rehai bhe de kabhi
            aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
            kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

            Comment


            • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

              Khatm tha hum pe muhabbat ka tamasha goya
              rooh aur jism ko har rooz juda kartay rahay
              zindagi hum se teray naaz uthaaey na gaaey
              saans lenay ki faqat rasm ada kartay rahay
              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

              Comment


              • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                Kaun batlaaey tumhain kaisay wo mousam hain k jo
                mujh se he door rahain mujh main he bastay jaaen
                haaey kia loog ye aabaad hoey hain mujh main
                piyaar k lafz likhain,lehjay se dastay jaaen
                aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                Comment


                • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                  Waah bahot khoobsurat sharings
                  sigpic

                  Comment


                  • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                    Originally posted by WASI ANJUM View Post
                    Waah bahot khoobsurat sharings
                    Thanx Wasi Anjum.
                    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                    Comment


                    • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                      Dil udaas hai bohat koe peghaam he likh do
                      tum apna naam na likho gumnaam he likh do

                      meri qismat main ghum-e-tanhai hai lekin
                      tamaam umar na likho magar ek shaam he likh do

                      zarori nahi k mil jaey sakon har kise ko
                      sar-e-bazm na aao magar be-naam he likh do

                      ye jaanta hon k umar bhar tanha mujhko rehna hai
                      magar pal do pal,ghari do ghari,meray naam he likh do

                      chalo hum maan letay hain saza k mustahiq hum hain
                      koe enaam na likho koe ilzaam he likh do
                      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                      Comment


                      • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                        Duniya bhe paish aae bohat be-rukhi k saath
                        hum ne bhe zakhm khaaey bari saadgi k saath

                        ek musht-e-khaak,aag ka dariya,laho ki lehar
                        kia kia riwayatain hain yahan aadmi k saath

                        apno ki chahatoun ne bhe kia kia diye faraib
                        rotay rahay lipat k har ek aadmi k saath

                        jangal ki dhoop chaoun he jangal ka husn hai
                        saayoun ko bhe qabool karo roushni k saath

                        tum raastay ki gard na ho jao tu kaho
                        do chaar gaam chal k tu daikho kise k saath

                        koe dhoaan utha na koe roushni hoe
                        jalti rahi hayaat bari khaamoshi k saath
                        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                        Comment


                        • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                          Ye dil ka roog ye chahat Khuda kise ko na de
                          bari bala hai muhabbat Khuda kise ko na de
                          zarori hai tu bohat zindagi main ishq magar
                          ye jaan-lewa zarorat Khuda kise ko na de
                          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                          Comment


                          • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                            Originally posted by khan khan View Post
                            Khatm tha hum pe muhabbat ka tamasha goya

                            rooh aur jism ko har rooz juda kartay rahay
                            zindagi hum se teray naaz uthaaey na gaaey

                            saans lenay ki faqat rasm ada kartay rahay
                            bohat acha sher hai, is liye design bhi kiya hai


                            Comment


                            • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                              Originally posted by shakeeel View Post
                              bohat acha sher hai, is liye design bhi kiya hai

                              Thank u so much.:)
                              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                              Comment


                              • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                                khawaab aankhoun main peronay ki ejazat de do
                                aay shub-e-ghum mujhay sonay ki ejazat de do
                                ya saleqay se nibha rasm-e-rafaqat mujh se
                                ya kise aur ka honay ki ejazat de do
                                aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                                kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                                Comment

                                Working...
                                X