Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)




    Originally posted by phonix_24 View Post
    *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


    Dareiche Say Jhankti Woh Larki Ajeeb Dukh Se Bhari Hoi Hai,
    K Is k Aangan Mein Phool Par Ek Neelii TiTli Mari Hoi Hai

    Kabhi Azanon Mein Khoi Khoi , Kabhi Namazon Mein Roi Roi,
    Woh Esey Dunya Ko Dekhti Hai K Jesey Is Se Dari Hoi Hai

    Durood Say Mehki Mehki Sansein,Wazifa Parhti Hoi Woh Ankhein,
    K Ek Shamma-e-Umeed Un Mein, Kaei Baras Say Dhari Hoi Hai

    Wo Dukh Ki Chadar Mein Lipti Lipti,Woh Kaley Kapron Mein Simti Simti,
    Muhabbat Us Ney Kisi Say ,Shayad Meri Tarhaan Kari Hoi Hai

    Barey Zamanon K Baad Barsi Hain Meri Aankhen Kisi Ki Khatir,
    Bare Zamano K Baad Dil Ki Zameen Phir Say Hari Hoi Hai....!!!!

    *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
    Wellcome Back Khan Je...ab phir ghaib mat ho jaye ga...

    Comments and sharings r wellcome
    Beautiful Sharing & Thank u so much:rose

    ye naaz hai k teri aarzo main jetay hain
    ye fakhar hai k teri zaat se ta'aluq hai
    Adam hayaat ki her qeemti musarrat ka
    khayaal se nahi,jazbaat se ta'aluq hai
    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

    Comment


    • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

      Tum jahan bhe raho'ye dua hai meri,pholoun ki narmiyan
      rangoun ki khushiyan
      u he tum par umandti baharoun ki manind barsa karain
      aasman ki bulandi,zameen ki wus'at,
      tumhari shaksiyat ka eak hissa banay
      mousam ki har eak ada jhoom kar tumko bahon main le
      aabsharoun ki thandak,naddi ka sakoon
      tumko hasil rahay
      aasman par jitnay bhe taray hain sub se roushan sitara
      tumhara hissa banay
      gar kahen par bhe soraj chamkay
      tu ek saaiban tum pe chahoun ki chadar banay
      dhoop ki sakhtiyan wo khud pe rook le
      tumko jalnay na de
      "Tum jahan bhe raho,Ye dua hai meri"

      apnay bohat he piyaray se dost k liye jis ka naam main abhi tak nahi jaan paae:)
      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

      Comment


      • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

        Gar chaho k ada kar sako tu qemat-e-dil
        tu tassawr k giran qadar aaeno main basi
        ek khamoush se be-lous ebarat parh lo
        jis ka mafhom agar samjho tu behad sada hai
        har takhaiul ki bulandi par hai mehway parwaaz
        dil ki qemat na kabhi saim-o-jawahir main mili
        na he ye bandish-e-halaat-e-zamana main mili
        kis ne daikha hai kise phool ki khushbo ko kabhi
        kaun cho sakta hai parbat ki sadaoun ko kabhi
        kia kise aankh se le saktay ho tum aanso ko kabhi
        kia chora saktay ho taroun se es ki kirnoun ko
        pher bhe chaho k ada kar sako tum qemat-e-dil
        piyaar ki aanch main jal gaaey lamhay laa do
        tumhari yaad main chalaktay hain jo aanso laa do
        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

        Comment


        • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

          Hairaan hon k ye kaun sa dastoray wafa hai
          tu misl-e-rag-e-jan hai tu keun mujh se khafa hai

          tu ehl-e-nazar hai tu nahi tujh ko keun khabar
          pehlo main teray koe zamanay se khara hai

          likha hai mera naam samandar pe hawa ne
          aur dono ki fitrat main sakon hai na wafa hai

          shikwa nahi mujhko k hon mehrom-e-tamanna
          ghum hai tu faqat itna k tu daikh raha hai

          hum rakhtay hain dawa k hai qabo hamain dil par
          tu saamnay aa jaey tu ye baat juda hai

          ghum hai k musalsal usi shiddat se hai taza
          u kehnay ko es umer ka her lamha naya hai
          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

          Comment


          • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

            Originally posted by khan khan View Post
            Gar chaho k ada kar sako tu qemat-e-dil

            tu tassawr k giran qadar aaeno main basi
            ek khamoush se be-lous ebarat parh lo
            jis ka mafhom agar samjho tu behad sada hai
            har takhaiul ki bulandi par hai mehway parwaaz
            dil ki qemat na kabhi saim-o-jawahir main mili
            na he ye bandish-e-halaat-e-zamana main mili
            kis ne daikha hai kise phool ki khushbo ko kabhi
            kaun cho sakta hai parbat ki sadaoun ko kabhi
            kia kise aankh se le saktay ho tum aanso ko kabhi
            kia chora saktay ho taroun se es ki kirnoun ko
            pher bhe chaho k ada kar sako tum qemat-e-dil
            piyaar ki aanch main jal gaaey lamhay laa do

            tumhari yaad main chalaktay hain jo aanso laa do

            Originally posted by khan khan View Post
            Hairaan hon k ye kaun sa dastoray wafa hai
            tu misl-e-rag-e-jan hai tu keun mujh se khafa hai

            tu ehl-e-nazar hai tu nahi tujh ko keun khabar
            pehlo main teray koe zamanay se khara hai

            likha hai mera naam samandar pe hawa ne
            aur dono ki fitrat main sakon hai na wafa hai

            shikwa nahi mujhko k hon mehrom-e-tamanna
            ghum hai tu faqat itna k tu daikh raha hai

            hum rakhtay hain dawa k hai qabo hamain dil par
            tu saamnay aa jaey tu ye baat juda hai

            ghum hai k musalsal usi shiddat se hai taza
            u kehnay ko es umer ka her lamha naya hai

            Buhat acha Intahab Hamesha ki tarah...lajawab, bemaisal(aap ki tarah:phool:):jazak:

            Comment


            • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

              Originally posted by khan khan View Post
              Tum jahan bhe raho'ye dua hai meri,pholoun ki narmiyan

              rangoun ki khushiyan
              u he tum par umandti baharoun ki manind barsa karain
              aasman ki bulandi,zameen ki wus'at,
              tumhari shaksiyat ka eak hissa banay
              mousam ki har eak ada jhoom kar tumko bahon main le
              aabsharoun ki thandak,naddi ka sakoon
              tumko hasil rahay
              aasman par jitnay bhe taray hain sub se roushan sitara
              tumhara hissa banay
              gar kahen par bhe soraj chamkay
              tu ek saaiban tum pe chahoun ki chadar banay
              dhoop ki sakhtiyan wo khud pe rook le
              tumko jalnay na de
              "Tum jahan bhe raho,Ye dua hai meri"

              apnay bohat he piyaray se dost k liye jis ka naam main abhi tak nahi jaan paae:)
              Naam to muje aap ka bhi nahin pata:donno:...
              Lakin iss jaga per woh Ghalib ne kaha hai

              Pochte hain woh ke Ghalib kon hai
              koi batlayia ke hum batlayian kaya

              Comment


              • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                Kuch Meri Taraf se
                Ham kisi chashm-e-fusoon saz mein rakhay huay hain
                Khwab hain, khwab kay andaz mein rakhay huay hain

                Taab anjam-e-muhabbat ki bhala kya latay
                Natawan dil wahin, aaghaz mein rakhay huay hain

                Jaltay jaen gay abhi aur chraghon say chragh
                Jab teri anjuman-e-naaz mein rakhay huay hain

                Ay hawa!aur khizaon kay ilawa kya hai
                Waswasay kion teri aawaz mein rakhay huay hain?

                Ik sitaray ko to main subh talak lay aaei,
                Beshtar,raat kay aaghaz mein rakhay huay hain


                Kat kay woh par to hwaon mein kahin ur bhi gaey
                Dil yahin,hasrat-e-prwaz mein rakhay huay hain

                Ham to hain aab-e-zar-e-ishq say likhay huay harf
                Baish qeemat hain, buhat raaz mein rakhay huay hain

                Comment


                • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                  Main tumharay aks ki aarzoo mein bass aayina hi bani rahi
                  Kabhi tum na samnay aa sakay, kabhi mujh pay gard pari rahi

                  Woh ajeeb shaam thi,aaj tak meray dil mein uss ka malal hai
                  Meri tarah jo teri muntazir, teray rastay mein khari rahi

                  Kabhi waqf-e-hijr main ho gaei,kabhi khwab-e-wasl mein kho gaei
                  Main faqeer-e-ishq bani rahi, main aseer-e-yaad huwi rahi

                  Bari khamshi say sarak kay phir meray dil kay gird lipat gaei
                  Woh rida-e-abr-e-sfed jo sar-e-kohsar tani rahi

                  Huwi uss say jabb meri baat bhi,thi shareek-e-dard woh zaat bhi
                  To na janay kon si cheez ki meri zindgi mein kami rahi

                  Comment


                  • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                    Chashm hairan bhi hai, ehed ki paband bhi hai
                    Dil jisay chahta hai us say gila mand bhi hai

                    Poshish-e-gahm pay na itna bhi koi nazan ho
                    Is mein hlki si khushi ka kahin pewand bhi hai

                    Baray,us deed say aankhon ko mila hai kuch chaen
                    Lekin is dil ki tarap aaj say dochand bhi hai

                    Aap kay sr mein kisi aur ka soda,herat!
                    Jb isi sr ki hmaray liay sogand bhi hai

                    Raat,tnhai,taaqub mein musalsal koi chaap,
                    Aur jb ilm ho, aagay yeh gli band bhi hai

                    Nabz pr dst-e-msiha nahin,hai dst-e-hbib
                    Gr yeh ht jaey to ik aan mein dil band bhi hai
                    ______________________________________
                    Khan Je last sher specialy aap ke liye hai...

                    Comments and Sharing r wellcome372-shock

                    Comment


                    • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                      Bahot khoobsurat intakhab janab
                      sigpic

                      Comment


                      • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                        For My Special Friend....Khan Khanteddy
                        Usy Mien Nay He Likha Tha
                        K Lehjy Barf Ho Jaien To Phir Pighla Nahi Karty...
                        Parindy Dar K Urr Jaein To Phir Louta Nahi Karty..

                        Usy Mein Nay He Likha Tha
                        Yaqeen Uth Jay To Shayad Kabhi Wapis Nahi Aata...
                        Hawaoon Ka Koi Tofaan Kabhi Barish Nahi Lata.....

                        Usy Mein Nay He Likha Tha
                        K Shesha Toot Jaye To Kabhi Phir Jurr Nahi Pata...
                        Jo Rasty Say Bhatak Jaye Wo Wapis Murr Nahi Pata...

                        Usy Kehna Wo Be-Mani Addhory Khat Usy Mien Nay Hee Likhy Thy..
                        Usy Kehna K Deewany Muqamal Khat Nahi Likhty....

                        Comment


                        • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                          Originally posted by WASI ANJUM View Post
                          Bahot khoobsurat intakhab janab

                          Shukrai Wasi Jee

                          Comment


                          • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                            woh na dur hai, na karib hai
                            ye jo hijr hai, ye nasib hai...

                            jo wisaal tha woh to khwab tha
                            ye khyaal kitna ajeeb hai...

                            wahi ansuon mein duaaon mein
                            wahi dukh sukh mein karib hai..

                            jo main sochta hun keh sakun
                            mera harf harf rakib hai....

                            ye falak zamin ko samet le
                            mera dil bhi kitna garib hai...

                            Comment


                            • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                              Kar Liya Hai Faisla, Kehna Usey
                              Ab Na Hoga Raabta, Kehna Usey

                              Jis Pe Hum Chalte Rahe Hain Sath Sath
                              Kho Gaya Woh Raasta, Kehna Usey

                              Teri Yaadein Dil Se Rukhsat Ho Gayin
                              Ho Chuka Yeh Saaneha, Kehna Usey

                              Ab Na Dekhe Ga Tumhara Raasta
                              Dil Ko Main Samjha Chuka, Kehna Usey

                              Chain Se Sone Na De Ga Ab Gham Tujhe
                              Raat Bhar Ab Jaagna, Kehna Usey

                              Aashna Ban Kar Na Milna Raah Mein
                              Dosti Ik Khwaab Tha, Kehna Usey

                              Murh Ke Peeche Hum Bhi Dekhte Nahi
                              Soch Kar Munh Pherna, Kehna Usey..

                              Comment


                              • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                                Ik Kiran Ummeed ki, toota Sitaara bann gayee...
                                Saawam ki aee thi jhari, ashkoun ka dhaara bann gayee....

                                Toot kar ik shaakh ki maanind kal jo gir paree....
                                Aaj woh nanhi qalam, fasl-e-bahaaran' bann gayee....

                                Ikk zara si deep mein duniya jahan ka husn thaa....
                                Aaj teri ik nazar misl'e nazaara bann gayee....

                                Abb waqt khushiyaan laega, gham ka zamaana thamm gaya....
                                Yeh aas, thamti saans takk dill ka sahaara bann gayee...

                                Jaane kis manzil ki khaatir chall diye kashti liye....
                                Aarzoo ki nao khud apna kinaara bann gayee.....

                                Ik teri ummeed pe qaayem hay apni zindagi......
                                Toot bhee gar yeh gayee tou wasl'e yaraan bann gayee....
                                ______________________________________________
                                Comments and Sharing is Wellcome

                                Comment

                                Working...
                                X