Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

    Silsila tod gaya wo sabhi jaate jaate,
    warna itne to marasim the ke aate jaate,

    Shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha,
    apne hisse ki koi shamma jalate jalate,

    Kitna aasan tha tere hijr mein marna jaana,
    phir bhi ek umr lagi jaan se jaate jaate,

    jashn-e-maqtal hi na barpa hua warna um bhi,
    paa-bajolaan hi sahi naachte gaate,

    uski wo jaane usse paas-e-wafa tha ke na tha,
    tum "faraz" apni taraf se to nibhate jaate...

    Comment


    • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

      Mere Naseeb Ne Jab Mujhse InteQaam Liya,
      Kahan Kahan Teri Yaadon Ne Hath Thaam Liya,

      Faza Ki Aankh Bhar Aayi Hawa Ka Rang Uda,
      Sukoot-E-Shaam Ne Chupke Se Tera Naam Liya,

      Wo Main Nahi Tha Ek Harf Bhi Na Keh Paya,
      Wo Bebasi Thi Ke Jisne Tera Salaam Liya,

      Har Ek Khushi Mein Tere Gam Ki Aabroo Rakh Li,
      Har Khushi Se Tere Gam Ne InteQaam Liya...
      ___________________________________________
      :phool:Comments and Sharing Plz:tasali:

      Comment


      • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

        Bahot khoobsurat sharing janab very nice
        sigpic

        Comment


        • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

          Originally posted by WASI ANJUM View Post
          Bahot khoobsurat sharing janab very nice
          :jazak:

          Comment


          • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

            This is For U My Thread Partener Khan Khan...Miss U & Where r u???
            Bara Dushwaar hota hai
            Zara sa Faisla karna
            ke Jeevan ki Kahani ko Bayaan be-zabaani ko
            Kaha se Yaad rkhna hai'Kaha se Bhool jana hai
            Usse kitna Batana hai'Usse kitna chupana hai
            Kaha Ro Ro kar hansna hai
            Kaha hans hans kar Rona hai
            Uss Aanchal ke Koney ko'Kitna bhigona hai
            Kaha Awaaz deni hai
            Kaha Khamosh rehna hai
            Kissi Dukh ko Kaha per
            Kaun se Shiddat se kehna hai
            Kaha Raasta badalna hai
            Kaha se Laut ana hai
            Zara se Faisla Karna
            Bara Dushwaar hota hai....!!
            Last edited by phonix_24; 4 February 2009, 02:42.

            Comment


            • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

              Mujhe Roshni ki talab bhi thi
              Mujhe mazilon ka Gumaan bhi tha
              Mujhe Raasto ki khabar bhi thi
              Mein bashar jo tha'Mera Dil bhi tha
              Mere Dil mein rang bikhairti hue
              Khawahisho ka Hajoom bhi tha
              Meri Zindagi ki Khalaoo mein
              Kai teeirtey hue Khawaab the
              Mujhe maangne ka shaoor tha
              Mere Lab pe Harf-e-DUA bhi tha
              Mein Bashar jo tha
              Mujhe Roshni ki Talab to thi
              Mujhe Raasto ki khabar to thi
              Mujhe Manzilo ka Gumaan to tha
              Tu ne phir bhi kaise samajh liya
              Koi Aarzoo Koi Raasta
              Koi Roshni Koi Zindagi
              Mujeh Tujh se Barh kar AZEEZ hai
              Kabhi Iss taraf se guzar hua
              To nazar bacha ke Ye dekhna
              TERE baad jitni basar hue
              Issey UMER kehna Durust hai.....???[
              Last edited by phonix_24; 4 February 2009, 02:43.

              Comment


              • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                Gehri aur Meharbaan Raat ki kasam
                Faasle to bas Kamzor Dil logo ke liye hi
                Khauf aur becheni hote hai
                Warna
                Aik zameen per meelo aur kauso ki Doorie
                Mohabbat ko kabhi Shikast nahi de sakti
                Hijar kitna bhi kara ho
                aur Doorie jaise bhi Doorie ho
                Chahtein aur Sawa ho jaya karti hai
                Gehri aur Meharbaan Raat ki kasam
                Mein Chahey Jaha bhi hoon
                Aik aise Khule darwaze ki Manand hoon
                Jis ki Dehleez per Tumhare kadam likhe hue hai
                Aur Tum chahe Jaha bhi hi
                Mere liye Kisi bhi Mushkil Ghari mein
                Aik bharpoor Dilasa aur
                Aik na Kabil-e-Shikast Aitmaad ho...!!

                Comment


                • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                  Mere Khawaab Meri Kahaniya
                  Mere Be-Khabar Tujhe Kya Pata
                  Teri Aarzuo ke Dosh per
                  Teri kaifiyat ke Jaam mein
                  Mere Khawaab'Meti Kahaniya
                  Mere Zaiche'Mere Raastein
                  Mere laikh ki Ye Nishaniyaan
                  TERI Chah mein hai Ruki hue
                  Kabhi Ansuoon ke Kitaar mein
                  Kabhi Patharo ke Hisaar mein
                  Kabhi Dasht-e-Hijar ki Raat mein
                  Kabhi bad naseebi ki Ghaat mein
                  Kai rang Dhoop se jal gaye
                  Kai Chaand Shaakh se dhal gaye
                  Kai tan sulag ke pighal gaye
                  Tere ulfato ke Qayaam mein
                  Tere Dard ke Daro baam mein
                  Koi kab se Sabt-e-Saleeb hai
                  Teri kainaat ki Raat mein
                  TERI Azdhaam ki Shaam mein
                  TUJHE KYA KHABAR MERE BE-KHABAR
                  -----------------------------------
                  :phool:Comments and sharing:tasali:
                  :duaKhan Jee Kahan Hain Aap...Aapke sharing ka intazar hai buhat:donno:

                  Comment


                  • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                    Originally posted by phonix_24 View Post
                    Gehri aur Meharbaan Raat ki kasam
                    Faasle to bas Kamzor Dil logo ke liye hi
                    Khauf aur becheni hote hai
                    Warna
                    Aik zameen per meelo aur kauso ki Doorie
                    Mohabbat ko kabhi Shikast nahi de sakti
                    Hijar kitna bhi kara ho
                    aur Doorie jaise bhi Doorie ho
                    Chahtein aur Sawa ho jaya karti hai
                    Gehri aur Meharbaan Raat ki kasam
                    Mein Chahey Jaha bhi hoon
                    Aik aise Khule darwaze ki Manand hoon
                    Jis ki Dehleez per Tumhare kadam likhe hue hai
                    Aur Tum chahe Jaha bhi hi
                    Mere liye Kisi bhi Mushkil Ghari mein
                    Aik bharpoor Dilasa aur
                    Aik na Kabil-e-Shikast Aitmaad ho...!!
                    buht khoob. :thmbup:
                    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                    :pr:

                    Comment


                    • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                      Originally posted by phonix_24 View Post
                      Mere Khawaab Meri Kahaniya
                      Mere Be-Khabar Tujhe Kya Pata
                      Teri Aarzuo ke Dosh per
                      Teri kaifiyat ke Jaam mein
                      Mere Khawaab'Meti Kahaniya
                      Mere Zaiche'Mere Raastein
                      Mere laikh ki Ye Nishaniyaan
                      TERI Chah mein hai Ruki hue
                      Kabhi Ansuoon ke Kitaar mein
                      Kabhi Patharo ke Hisaar mein
                      Kabhi Dasht-e-Hijar ki Raat mein
                      Kabhi bad naseebi ki Ghaat mein
                      Kai rang Dhoop se jal gaye
                      Kai Chaand Shaakh se dhal gaye
                      Kai tan sulag ke pighal gaye
                      Tere ulfato ke Qayaam mein
                      Tere Dard ke Daro baam mein
                      Koi kab se Sabt-e-Saleeb hai
                      Teri kainaat ki Raat mein
                      TERI Azdhaam ki Shaam mein
                      TUJHE KYA KHABAR MERE BE-KHABAR
                      -----------------------------------
                      :phool:Comments and sharing:tasali:

                      :duaKhan Jee Kahan Hain Aap...Aapke sharing ka intazar hai buhat:donno:
                      Bahot khoob janab very nice sharing :thmbup:
                      sigpic

                      Comment


                      • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                        Originally posted by *Hala* View Post
                        buht khoob. :thmbup:
                        :jazak:girl with gun:salam:

                        Comment


                        • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                          Originally posted by WASI ANJUM View Post
                          Bahot khoob janab very nice sharing :thmbup:
                          :jazak:Wasi Anjum Jee

                          Comment


                          • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                            For U My Friend Khan Khan...Missing U:donno:
                            Chupkey Chupkey ro lena
                            ~~~ ~~~~~~ ~~~~~~ ~~~~~~ ~~

                            jub seena ghum se bojhal ho
                            aur yaad kisi ki aati ho
                            tub kamrey main bund ho jana
                            aur chupkey chupkey roo lena
                            jub aankhein baghi ho jaein
                            aur yaad main meri bhar aaein
                            phir khud ko dhukh mat dena
                            aur chupkey chupkey roo lena
                            jub pulkeen kerb se mondi hoon
                            aur sub sumjhein tum sotey ho
                            tub moan pe takya rakh lena
                            aur chupkey chupkey roo lena
                            yeh duniya zalim duniya hai
                            yeh baat bohoot phailaye gi
                            tum samney sub ke chup rehna
                            aur chupkey chupkey roo lena
                            jub barish chehra dho daley
                            aur ashk bhi boondein lagtey hoon
                            woh lamha hergiz mat khona
                            aur chupkey chupkey roo lena
                            Last edited by phonix_24; 4 February 2009, 19:30.

                            Comment


                            • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                              TUM MUJHAY YAAD TO NAHI AATAY
                              HAAN MUJHAY YAAD TO NAHI AATAY

                              HAAN MAGAR JAB BHI SAANS LETAA HOON
                              KHUSHBOO KI TARHA SAANSOONMAIN
                              ROZ TUM BIKHARTEE HO
                              ROOH MAIN HAR DAM UTARTEE HO
                              TUM MUJHAY YAAD TO NAHI AATEE

                              JAB KARI DOPAHAR MAIN SOORAJ KA
                              AKS MERAY BADAN PAY PARTA HAY
                              SAAYA BAN Ker SAATH SAATH CHALTEE HO
                              TUM MUJHAY YAAD TO NAHI AATAY

                              RAAT KI ZULF JAB BIKHARTI HAY
                              SAPNA BAN kER
                              MERI SOONI AANKHOON KI
                              ROOSHNI BHI BANTAY HO
                              HAR GHARI MERAY SAATH RAHTAY HO
                              TO TUMHAIN KAISAY YAAD KAR LOON MAIN
                              BHOOL JAOON TO YAAD KAR LOON GAA
                              TUM MUJHAY YAAD TO NAHI AATAY
                              HAAN MUJHAY YAAD TO NAHI AATAY....................

                              Comment


                              • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                                Ye shab-e-firaq ye bebasii hain qadam qadam pe udaasiyaan
                                Meraa saath koii na de sakaa merii hasaratein hain dhuaan dhuaan

                                Main tadap tadap ke jiyaa to kyaa mere khvaab mujh se bichhad gaye
                                Main udaas ghar kii sadaa sahii mujhe de na koii tasalliyaan

                                Chalii aisii dard kii aandhiyaan mere dil kii bastii ujad gaii
                                Ye jo raakh sii hai bujhii bujhii hain isii mein merii nishaaniyaan

                                Ye fizaa jo gard-o-gubaar hai merii bekasii kaa mazaar hai
                                Main vo phuul huun jo na khil sakaa merii zindagii mein vafaa kahaan

                                ********************Hasan Rizvi
                                __________________________________________________ ___
                                :dance:Coments and Sharing Plz
                                Last edited by phonix_24; 4 February 2009, 19:46.

                                Comment

                                Working...
                                X