Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

    kabhi yad aye to pochna
    zara apni khulwat.e.sham se
    kisey ishq tha teri zat se
    kise pyar tha tere nam se
    zara yad kar kay wo kon tha
    jo kabhi tujhe bhi azeez tha
    wo jo mar mita tere nam pe
    wo jo jee utha tere nam se
    hamain berukhi ka nahi gila
    kay yehi wafaoan ka hai sila
    magar aisa jurm tha kon sa
    gaye hum dua.o.salam se
    na kabhi visaal ki chah ki
    na kabhi firaq main ahh ki
    kay mera tarika.e.bandagi
    hai juda tareek.e.emam se...

    Comment

    • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

      mera afsurda chehra isliye bhi zard rehta hai
      mujhe apne elawa bhi kisi ka dard rehta hai
      tumhare dam qadam se they ye sab rangeeniyan
      tumhare bad sara saal mosam sard rehta hai
      tumhare bad or to sab theek hai
      lekin
      jahan dil tha kabhi pehley
      wahan abb dard rehta hai.........
      _______________________________

      :tasali:Comments and Sharings

      Comment

      • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

        Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
        Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya..

        Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
        Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya..

        Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
        aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya..

        Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
        aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya...

        Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
        aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya...

        Mere jevan ki her khushi main wohi tha bus
        aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya...

        Comment

        • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

          zra kuch dair thehr jao
          mujhay ikk baat kehne do

          main aksar sochta hoon ke
          tumhain kya ho gaya hai abb
          mehazz kuch din ki doori se
          badal jao gee tum aisay
          kabhi main ne na socha tha
          zra si badgumaani pe
          palat jao gee raste main
          kabhi aisa ne na socha

          bhala aisay bhee hota hai
          ke manzil rubaru aaye
          musaafir lautna chaahe
          nahi!aisay nahi hota
          manzil aur musaafir main
          zra sa farq hota hai
          sabar ka farq hota hai

          bhala aisay bhee hota hai
          mohabatt chandd dinon ki ho
          nahi!aisay nahi hota
          mohabatt aur ibaadatt main
          zra sa farq hota hai
          ibaadatt bandagi jaano
          mohabatt zindagi maano

          kabhi main sochta hoon ke
          zra si nasamajh ho tum
          jo youn nadaani kar baitheen
          magar phir dil yeh kehta hai
          ke yeh tumhaari fitratt hai
          agor yeh baat sach hai tou
          zra si dair thehnr ki
          zarooratt hai na majboori
          mujhay phir kuch nahi kehna
          mujhay phir dard sehne do
          mujhay khamosh rehne do
          mujhay khamosh rehne do!!!!

          Comment

          • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

            bb ke mausam ki adaa bhee boht ajnabi si hai
            abb ke dil ki har khwahish dabi dabi si hai

            behti hui aankhon main hai pinhaan mera maazi
            palkon tal'e har yaad teri youn saji si hai

            nadaan hoon abb takk teri ummeed hai baaqi
            halanke yeh mumkin nahi yeh aagahi si hai

            kuon gardish e ayyaam ne behaal kiya hai
            bejaan jism ki tarha kuon bebasi si hai

            abb hosh hai na khabr hai na koi saleeqa
            kuch din se ajab haalat e deewaangi si hai

            ikk shab tha hum se rooth ghaya woh rukh e roshan
            abb din ke ujaalon main bhee ik tareeki si hai

            uss bewafa se koi shikayatt nahi humain
            haan zindagi se shikwa o naraazgi si hai

            asaan na tha ik shakhs ko youn dil se bhulaana
            yeh mojza hua hai tou hairaangi si hai

            kal tak saja karti theen yahan mehfilain har din
            aangan main magar aaj boht khaamshi si hai

            deewar o dar ki qaid se azaad huay hum
            ikk umr se abb aadat e awaargi se hai

            Comment

            • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

              Originally posted by phonix_24 View Post
              suno tum laut ao na
              wo dekho chand nikla hai
              sitare jagnagae hain
              tumhari muntazir ankhen
              duan mangti ankhen
              tumhain wapis bulati hain
              suno tum laut ao na
              ye dil jab bhi dhadakta hai
              tumhara nam leta hai khushi jo aye bhi
              tumhare bin adhori hai
              kay barish jab bhi hoti hai
              tumhi ko yad karti hai
              suno tum laut ao na
              suno tum laut ao na
              Originally posted by phonix_24 View Post
              kabhi yad aye to pochna
              zara apni khulwat.e.sham se
              kisey ishq tha teri zat se
              kise pyar tha tere nam se
              zara yad kar kay wo kon tha
              jo kabhi tujhe bhi azeez tha
              wo jo mar mita tere nam pe
              wo jo jee utha tere nam se
              hamain berukhi ka nahi gila
              kay yehi wafaoan ka hai sila
              magar aisa jurm tha kon sa
              gaye hum dua.o.salam se
              na kabhi visaal ki chah ki
              na kabhi firaq main ahh ki
              kay mera tarika.e.bandagi
              hai juda tareek.e.emam se...

              Originally posted by phonix_24 View Post
              mera afsurda chehra isliye bhi zard rehta hai

              mujhe apne elawa bhi kisi ka dard rehta hai
              tumhare dam qadam se they ye sab rangeeniyan
              tumhare bad sara saal mosam sard rehta hai
              tumhare bad or to sab theek hai
              lekin
              jahan dil tha kabhi pehley
              wahan abb dard rehta hai.........
              _______________________________

              :tasali:Comments and Sharings
              Khoobsorat Intakhaab
              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

              Comment

              • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                Originally posted by life. View Post
                Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
                Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya..

                Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
                Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya..

                Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
                aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya..

                Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
                aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya...

                Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
                aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya...

                Mere jevan ki her khushi main wohi tha bus
                aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya...
                Originally posted by life. View Post
                zra kuch dair thehr jao
                mujhay ikk baat kehne do

                main aksar sochta hoon ke
                tumhain kya ho gaya hai abb
                mehazz kuch din ki doori se
                badal jao gee tum aisay
                kabhi main ne na socha tha
                zra si badgumaani pe
                palat jao gee raste main
                kabhi aisa ne na socha

                bhala aisay bhee hota hai
                ke manzil rubaru aaye
                musaafir lautna chaahe
                nahi!aisay nahi hota
                manzil aur musaafir main
                zra sa farq hota hai
                sabar ka farq hota hai

                bhala aisay bhee hota hai
                mohabatt chandd dinon ki ho
                nahi!aisay nahi hota
                mohabatt aur ibaadatt main
                zra sa farq hota hai
                ibaadatt bandagi jaano
                mohabatt zindagi maano

                kabhi main sochta hoon ke
                zra si nasamajh ho tum
                jo youn nadaani kar baitheen
                magar phir dil yeh kehta hai
                ke yeh tumhaari fitratt hai
                agor yeh baat sach hai tou
                zra si dair thehnr ki
                zarooratt hai na majboori
                mujhay phir kuch nahi kehna
                mujhay phir dard sehne do
                mujhay khamosh rehne do
                mujhay khamosh rehne do!!!!
                Originally posted by life. View Post
                bb ke mausam ki adaa bhee boht ajnabi si hai
                abb ke dil ki har khwahish dabi dabi si hai

                behti hui aankhon main hai pinhaan mera maazi
                palkon tal'e har yaad teri youn saji si hai

                nadaan hoon abb takk teri ummeed hai baaqi
                halanke yeh mumkin nahi yeh aagahi si hai

                kuon gardish e ayyaam ne behaal kiya hai
                bejaan jism ki tarha kuon bebasi si hai

                abb hosh hai na khabr hai na koi saleeqa
                kuch din se ajab haalat e deewaangi si hai

                ikk shab tha hum se rooth ghaya woh rukh e roshan
                abb din ke ujaalon main bhee ik tareeki si hai

                uss bewafa se koi shikayatt nahi humain
                haan zindagi se shikwa o naraazgi si hai

                asaan na tha ik shakhs ko youn dil se bhulaana
                yeh mojza hua hai tou hairaangi si hai

                kal tak saja karti theen yahan mehfilain har din
                aangan main magar aaj boht khaamshi si hai

                deewar o dar ki qaid se azaad huay hum
                ikk umr se abb aadat e awaargi se hai
                Bohat Umdah
                aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                Comment

                • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                  Ek taza hikayat hai
                  sun lo tu enayat hai
                  ek shaks ko daikha tha
                  taroun ki tarha hum ne
                  ek shaks ko chaha tha
                  apno ki tarha hum ne
                  ek shaks ko samjha tha
                  pholoun ki tarha hum ne
                  wo shaks hamain ek din
                  ghairoun ki tarha bhola
                  taroun ki tarha doba
                  pholoun ki tarha toota
                  pher haath na aaya wo
                  hum ne tu bohat dhondha
                  tum kis liye chonkay ho?
                  kub tum se shikayat hai?
                  ye taza hikayat hai
                  Sunii tum ne enayat hai!!!:rose
                  aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                  kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                  Comment

                  • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                    Meri muhabbat k dono aalam,tamaam roushan,tamaam mehkam
                    main yaad karna bhe jaanta hon,main yaad aana bhe jaanta hon
                    qadam qadam par kaamyabi,nazar nazar main kaamrani
                    magar koe muskora k daikhay,tu haar jana bhe jaanta hon
                    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                    Comment

                    • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                      Milay har qadam pe rifaqat tumhari
                      kahan hum kahan ye enayat tumhari

                      hamain chahiye bus taa'luq tumhara
                      muhabbat milay ya adawat tumhari

                      kise se bhe milna,usay jeet lena
                      bari dil-nasheen hai ye aadat tumhari

                      na daikha jahan main koe aur tum sa
                      bari munfarid hai tabiyat tumhari

                      hamain zindagi k kathan raastoun main
                      hamesha rahay ge zarorat tumhari
                      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                      Comment

                      • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                        Na meray qalam se likhii gai na meri zuban se ada hoe
                        jo nazar se kehnay ki baat thi kise harf main na samaey ge
                        koe phool chunta hai kis tarha koe dhool hota hai kis tarha
                        ye waqt waqt ki baat hai tujhay zindagi bataey ge

                          Originally posted by khan khan View Post
                          Ek taza hikayat hai

                          sun lo tu enayat hai
                          ek shaks ko daikha tha
                          taroun ki tarha hum ne
                          ek shaks ko chaha tha
                          apno ki tarha hum ne
                          ek shaks ko samjha tha
                          pholoun ki tarha hum ne
                          wo shaks hamain ek din
                          ghairoun ki tarha bhola
                          taroun ki tarha doba
                          pholoun ki tarha toota
                          pher haath na aaya wo
                          hum ne tu bohat dhondha
                          tum kis liye chonkay ho?
                          kub tum se shikayat hai?
                          ye taza hikayat hai

                          Sunii tum ne enayat hai!!!:rose

                          Originally posted by khan khan View Post
                          Meri muhabbat k dono aalam,tamaam roushan,tamaam mehkam
                          main yaad karna bhe jaanta hon,main yaad aana bhe jaanta hon
                          qadam qadam par kaamyabi,nazar nazar main kaamrani
                          magar koe muskora k daikhay,tu haar jana bhe jaanta hon

                          Originally posted by khan khan View Post
                          Milay har qadam pe rifaqat tumhari
                          kahan hum kahan ye enayat tumhari

                          hamain chahiye bus taa'luq tumhara
                          muhabbat milay ya adawat tumhari

                          kise se bhe milna,usay jeet lena
                          bari dil-nasheen hai ye aadat tumhari

                          na daikha jahan main koe aur tum sa
                          bari munfarid hai tabiyat tumhari

                          hamain zindagi k kathan raastoun main
                          hamesha rahay ge zarorat tumhari

                          Originally posted by khan khan View Post
                          Na meray qalam se likhii gai na meri zuban se ada hoe

                          jo nazar se kehnay ki baat thi kise harf main na samaey ge
                          koe phool chunta hai kis tarha koe dhool hota hai kis tarha

                          ye waqt waqt ki baat hai tujhay zindagi bataey ge

                          buhat acha Intahab hai Life and Khan Jee:jazak:

                          Comment

                          • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                            Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
                            aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya..

                            Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
                            aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya...
                            Life Je Very Special Ones...aap ki aur sharing ka intazar rahe ga...:salam:
                            Last edited by phonix_24; 2 February 2009, 17:17.

                            Comment

                            • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                              Ek taza hikayat hai
                              Khan Jee Yeh buhat achi hai yeh hikayat...lakin sachi naa yeh hikayat hi thi???:donno:
                              Last edited by phonix_24; 2 February 2009, 17:11.

                              Comment

                              • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                                Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hoon Main,
                                Sab Ke Dilse Utar Gaya Hoon Main,

                                Kaise Apni Hansi Ko Zabt Karun,
                                Sun Raha Hoon Ke Ghar Gaya Hoon Main,

                                Kya Bataun Ke Mar Nahi Paata,
                                Jeete Jee Jab Se Mar Gaya Hoon Main,

                                Ab Hai Bas Apna Saamna Darpesh,
                                Har Kisi Se Guzar Gaya Hoon Main,

                                Wohi Naaz-O-Ada, Wohi Gamze,
                                Sar-Ba-Sar Aap Par Gaya Hoon Main,

                                Ajab Ilzaam Hoon Zamane Ka,
                                Ke Yahan Sabke Sar Gaya Hoon Main,

                                Kabhi Kud Tak Pahuch Nahi Paaya,
                                Jab Keh Vaan Umr Bhar Gaya Hoon Main,

                                Tumse Jaanaan Mila Hoon Jis Dinse,
                                Be-Tarah,Khud Se Dar Gaya Hoon Main,

                                Kooche-E-Janaan Mila Hoon Jis Din Se,
                                Ke Achanak Sudhar Gaya Hoon Main...

                                Comment

                                Working...
                                X