PALESTINE
~~~~~~~~~~
Minar-e-muqaddas pe
waaday ki tasdeeq bann karr
farishton kay shanon pe
hathon ko phelaey
ik roaz Issa jo utra
to Issa ki hairan aankhon nay
dekha---
Suleman kay haikal mein
soanay kay bachhray ki
moorat saji thi,
faza'on mein ''laa'' ki sada thi,
hawa'on ki aawaz, naoha saraa thi,
minar-e-muqaddas kay neechay basi
kalema go'on ki
sari wehshat zada bastiyon parr
ajab sehr-e-khamoash chhaya tha,
Firaon-e-daoran kay
qanoon-e-shabb ranng say
tabish-e-noor-e-haqq parr
andheray ka pehra tha,
jabr-e-musalsal kay hathon mein
jakri huwi
waqt ki nabz thi,
gunng thi sari sadyon ki aawaz
aur ehed-e-mojood ki
chashm-e-insaaf
pathra chuki thi!
Falasteen ki khaak-e-lahoo ranng
parr-- pa'on rakhkha
to Issa ki hairan
aankhon nay dekha---
Muhammad ki mazloom ummat kay
maasoom phoolon kay hathon mein
pathar thay
aur samnay--
ummat-e-Samri ki sipah thi,
woh pathar nishanon pe
lagtay nahin thay--
magar ummat-e-Samri ki
kisi toap ka qehr
apnay nishanon say
hargiz nahin chookta tha!
faza'on mein ''laa''ki sada thi
woh ''laa'' ki sada
jo zamin parr bapaa thi,
woh''laa''ki sada jo falak
kay kinaron pe
naoha saraa thi
zamin say falak takk
usi ik sada-e-qazaa ka
fusoon tha,
woh shehron pe phela huwa
ko'ei dasht-e-junoon tha,
jo Issa ki
hairan aankhon nay
dekha!
by Samina Raja
Comment