Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

chehra mera tha nigahen us ki

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • chehra mera tha nigahen us ki

    chehra mera tha nigahen us ki
    khamushi main bhi wo baten us ki


    mere chehre pe ghazal likhti gain
    shair kahti hui ankhen us ki


    shokh lamhon ka pata dene lagin
    tez hoti hui sansen us ki


    aise mausam bhi guzare ham ne
    subhen jab apni thin shamain us ki


    dhyan main us k ye alam tha kabhi
    ankh mahtab ki yaden us ki


    faisala mauj-e-hawa ne likkha
    andhiyan meri baharen us ki


    nind is soch se tuti aksar
    kis tarah katati hain raten us ki


    dur rah kar bhi sada rahti hai
    mujh ko thame hue bahen us ki


    By Parveen Shakir.



    Allah-o-Akbar Kabeera, Wal Hamdulillaah-e-Kaseera, Subhan Allah-e-Bukratan-wa-Aseela

  • #2
    Re: chehra mera tha nigahen us ki

    Lovely.:rose
    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

    Comment


    • #3
      Re: chehra mera tha nigahen us ki

      MashAllah Bohat Khoob Kia Kehnay ap ka Intekhab ka


      aise mausam bhi guzare ham ne
      subhen jab apni thin shamain us ki



      khush rehay



      Tabani
      :(

      Comment


      • #4
        Re: chehra mera tha nigahen us ki

        faisala mauj-e-hawa ne likkha
        andhiyan meri baharen us ki
        nind is soch se tuti aksar
        kis tarah katati hain raten us ki
        Yaar Kaya kehne Parveen Shakir ke bhi :salam:
        aur aap ke intakhab ke bhi. Basam main aag laga di aap ne buhat khob...:jazak:

        Comment


        • #5
          Re: chehra mera tha nigahen us ki

          Originally posted by khan khan View Post
          Lovely.:rose
          Bohut Shukria! :salam:


          Allah-o-Akbar Kabeera, Wal Hamdulillaah-e-Kaseera, Subhan Allah-e-Bukratan-wa-Aseela

          Comment


          • #6
            Re: chehra mera tha nigahen us ki

            Originally posted by BaytaabTabaani View Post
            MashAllah Bohat Khoob Kia Kehnay ap ka Intekhab ka


            aise mausam bhi guzare ham ne
            subhen jab apni thin shamain us ki



            khush rehay



            Tabani
            Bohut Shukria! :salam:


            Allah-o-Akbar Kabeera, Wal Hamdulillaah-e-Kaseera, Subhan Allah-e-Bukratan-wa-Aseela

            Comment


            • #7
              Re: chehra mera tha nigahen us ki

              Originally posted by phonix_24 View Post
              Yaar Kaya kehne Parveen Shakir ke bhi :salam:


              aur aap ke intakhab ke bhi. Basam main aag laga di aap ne buhat khob...:jazak:
              Bohut Shukria! :salam:


              Allah-o-Akbar Kabeera, Wal Hamdulillaah-e-Kaseera, Subhan Allah-e-Bukratan-wa-Aseela

              Comment


              • #8
                Re: chehra mera tha nigahen us ki

                nice song

                Comment

                Working...
                X