Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tumhain Kaisay Bataein ham

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Tumhain Kaisay Bataein ham

    :) Poet:Saleem Kóusar Sahib....

    Tumhain kaisay bata'ain ham
    Mohabbat aur kahaani main koi rishta nahi hota
    Kahani main
    To ham waapas bhi aatay hain
    Mohabbat main palatnay ka koi rasta nahi hota
    Zara socho !
    Kahin dil main kharashain daalti yaadon ki saffaaki
    Kahin
    daaman say lipti hay kisi bhooli hui
    Saa'at ki nam'naaki
    Kahin aankhon kay khaimon main
    Charagh-e-khuab gul karnay ki saazish ko
    Hawa daiti hui raaton ki chaalaki
    Magar main banda-e-khaaki
    Na jaanay kitnay Firowno'n say uljhi hay
    Mairay laihjay ki bay'baaki
    Mujhay daikho
    Mairay chaihray pay kitnay mousamon ki gard
    Aur is gard ki teh main
    Samain ki dhoop main rakha ik aaina
    Aur aainay main ta hadd-e-nazar phailay
    Mohabbat kay sitaray aks ban kay jhilmilatay hain
    Nai dunyao'n ka rasta batatay hain
    Isi manzar main aainay say uljhi kuch lakeerain hain
    Lakeeron main kahaani hay
    Kahani aur mohabbat main azal say jang jaari hay
    Mohabbat main ik aisa mowr aata hay
    Jaha'n aa'kar kahaani haar jaati hay
    Kahaani main to kuch kirdar ham khud farz kartay hain
    Mohabbat main koi kirdaar bhi farzi nahi hota
    Kahani ko kai kirdaar
    Mil jul kar kahin aagay chalatay hain
    Mohabbat apnay kirdaron ko khud aagay barhaati hay
    Kahaani main kai kirdaar
    Zinda hi nahi rehtay
    Mohabbat apnay kirdaro'n ko marnay hi nahi daiti
    Kahaani kay safar main
    Manzaron ki dhool urti hay
    Mohabbat ki musaafat raah'geeron ko bikharnay hi nahi daiti
    Mohabbat ik shajar hay
    Aur shajar ko is say kiya matlab
    Kay us kay sa'aiy main
    Jo bhi thaka haara musaafir aa'kay baitha hay
    Ab us ki nasl kiya hay rang kaisa hay
    Kaha'n say aaya hay
    Kis simt jaana hay
    Shajar ka kaam to bas chaao'n daina
    Dhoop saihna hay
    Usay is say gharaz kiya hay
    Paraao daalnay waalon main kis nay
    Chaao'n ki taqseem ka jhagra uthaaya hay
    Kahaa'n kis aiyhad ko tora kahaan waada nibhaaya hay
    Magar ham jaantay hain
    Chaao'n jab taqseem ho ja'aiy
    To aksar dhoop kay nayzay
    Rag.o.paiy main utartay hain
    Aur is kay zakhm khowrda loge
    Jeetay hain na martay hain.....
    Last edited by hayaa_n; 20 November 2005, 22:10.
    :roseENIGMA:rose

  • #2
    Re: Tumhain Kaisay Bataein ham

    :thmbup: Zabardast Haya
    Bohat khoobsurat Nazm hai:rose
    Thankx 4 sharing :)

    Comment


    • #3
      Re: Tumhain Kaisay Bataein ham

      Bouhat shukriya Aik Larki ji.khush rahiye sada. :)
      :roseENIGMA:rose

      Comment


      • #4
        Re: Tumhain Kaisay Bataein ham

        Bohat khooob haya kya kamal ka intikhab hay
        Allah

        Comment


        • #5
          Re: Tumhain Kaisay Bataein ham

          Adnan ji aap ki pasand kay liye dil say shukar guzaar hun.:)
          :roseENIGMA:rose

          Comment


          • #6
            Re: Tumhain Kaisay Bataein ham

            Asslam-o-ALikum WR WB

            Hayaaaaaa :o ya aap ny likhi hy :o bhot umda

            Choice to kamal ki hay ... Hamain bhot pasnd ai :)

            FeamanAllah
            Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
            Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


            Comment


            • #7
              Re: Tumhain Kaisay Bataein ham

              Originally posted by Bheegi-Palkain
              Asslam-o-ALikum WR WB

              Hayaaaaaa :o ya aap ny likhi hy :o bhot umda

              Choice to kamal ki hay ... Hamain bhot pasnd ai :)

              FeamanAllah
              W.salaam

              Bheegi Palkain ji mairi likhi hui tamaam poetry "Main Shaair To Nahi" kay column main hi hay :)
              Bouhat khushi hui kay aap ko intikhaab pasand aaya.khush rahiye.:)
              :roseENIGMA:rose

              Comment

              Working...
              X