salaam dosto,
aapkii Khidmat meN ek Ghazal pesh kar rahaa huN...yeh saare kalaam unke hamaare liye tabarrukaat haiN...vo bhii ek alag daur thaa...Khud to chale gaye magar zaKheera chhoR gaye magar afsos k urdu kii baqaa ke liye aisa koii idaarah nahiiN jahaN yeh sab maHfooz rah sake...Khair...to, Ghazal mulaaHizah farmaaiye: :)
1.
Ilaahii! yeh kia darhamii ho gaii
Khushii Gham huaa Gham Khushii ho gaii
2.
mirii zindagii ab musiibat nahiiN hai
museebat mirii zindagii ho gaii
3.
shab-e-Gham kiran ek ummeed kii
HaseenoN kii seemeeN haNsii ho gaii
4.
na aaye vo aaNsoo agar poNchne
to rone meN unkii haNsii ho gaii
5.
zamaanat tabassum hai, va'da nahiiN
mirii aarzoo aapkii ho gaii
6.
tamanna na ho tum, tamanna kaa kia
tamannaa jo chaahii vohii ho gaii
7.
udhar tum ne yuNhii tabassum kiyaa
idhar aazmaa'ish mirii ho gaii
8.
"Sahbaa!" tu aaNsoo Ghaneemat samajh
andhere meN kuchh Raushnee ho gaii

Comment