Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN

    haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN
    tohmateN, badnaamiyaaN, rusvaaiyaaN

    zindagii shaayed isii kaa naam hai
    duuriyaaN, majbuuriyaaN, tanhaaiyaaN

    kyaa zamaane meN yuuN hii kaTtii hai raat
    karvateN, betaabiyaaN, angRaaiyaaN

    kyaa yahii hotii hai shaam-e-intizaar
    aahaTeN, ghabraahaTeN, parchhaiyaaN

    aik paikar meN simaT kar rah gayiiN
    KhuubiyaaN, zebaaiyaaN, raanaaiyaaN

    zaKhm dil ke phir hare karne lagiiN
    badliyaaN, barkhaa ruteN, purvaaiyaaN

    ?Kaif? paida kar samandar kii tarah
    vuss ateN, KhaamoshiyaaN, gahraaiyaaN

  • #2
    Re: haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN

    Wonderful Sharing
    ***************
    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

    Comment


    • #3
      Re: haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN

      salaam

      mazedaar Ghazal paRhne ko mili...mazaa aa gayaa...achchhi hai...mujhe yeh to nahiiN pataa k kiskii hai yeh Ghazal par is Ghazal meN tikniki KhaamiyaaN aur kamiyaaN haiN.

      overall a good Ghazal :)

      Fall view from inside my car
      near my work place :)

      Comment


      • #4
        Re: haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN

        aahan zabar10 hai

        Comment


        • #5
          Re: haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN

          aap sub doston ka bahut bahut shukriya

          Comment

          Working...
          X