Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

NaGhma-e-sabaa...valid marHoom kii nazm...MUST READ!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • NaGhma-e-sabaa...valid marHoom kii nazm...MUST READ!

    salaam dosto

    ummeed hai k mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge. :)



    vaalid marHoom kii ek nazm ba-'unvaan-e-"naGhma-e-sabaa" pesh kartaa huN jis meN be-intihaa naGhmagii paaii jaatii hai aur jiskaa andaza-e-bayaan aur jiskii salaasat-e-zabaan apne 'urooj par hai.

    to nazm mulaaHizah farmaaiye:



    maiN azal se garm_rau huuN, nahiiN koii kaam meraa
    yeh zamiiN hai SeHn merii to falak hai baam meraa
    na sukuuN kahiiN hai mujhko na kahiiN qayaam meraa
    kabhii chhoo sakaa hai daaman, na qafas, na daam meraa


    bahot aaye koh o daryaa na rukaa Khiraam meraa



    maiN chaman se apne chehre ko chhupaa chhupaa ke guzrii
    kabhii chhoo gaii kalii ko, kabhii gudgudaa ke guzrii
    mirii raah meN jo aayaa use maiN haNsaa ke guzrii
    magar is taraH k daaman ko bachaa bachaa ke guzrii


    mirii zindagii guzarnaa yehii subH o shaam meraa


    kabhii kai'f DhoonDhtaa hai lab-e-joo-e-baar mujh se
    kabhii zor maangtaa hai Gham-e-intizaar mujh se
    kabhii rang kaa hai KhowaahaaN ruKh-e-laalah_zaar mujh se
    kabhii maHv-e-iltijaa hai kaf-e-mai_gusaar mujh se


    tag o dau yehii damaadam, na subuu na jaam meraa


    mirii gard-e-ram se khilte haiN chaman meN laala o gul
    mirii mauj-e-gulshan_aaraa hai balaa-e-jaan-e-bulbul
    mirii Khoo se hai parishaaN dil-e-yasmeen o sumbul
    kabhii ik tavaaf-e-pai'ham, kabhii mustaqil taGhaaful


    yeh sukuuN_sarisht maqsad safar-e-davaam meraa


    maiN hazaar zulf-e-pur_Kham sar-e-ruKh uRaa ke laaii
    mire dam se 'aashiqoN ko na milii kabhii rihaaii
    kabhii is qabaa ko chheRaa, kabhii vo ridaa uRaaii
    magar aaj tak kisii ne mirii gard tak na paaii


    mujhe sab se ram hai kekin nahiiN koii raam meraa


    maiN hazaar baar guzrii jam o kai kii anjuman se
    na miTii yeh tashna_kaamii kisii baadah-e-kohan se
    mujhe door door jaanaa hai abhii tire chaman se
    na nikal 'uroos-e-naghat tu Hareem-e-yaasman se

    k tujhe thakaa na Daale ram-e-be-maraam meraa


    na kisii se aashnaa maiN, na hai koii meraa maHram
    na kisii kii maiN ra'aiyat, na mujhe Khiraaj kaa Gham
    sar-e-kai'f-e-baad o jam par miraa hil rahaa hai parcham
    maiN tamaam kaaKh o aiwaaN se guzar rahii huuN pai'haam

    mujhe Dar nahiiN k daaman koii le na thaam meraa


    miraa Khoon-e-dil hai lab par jo taraanah le ke aayii
    na bayaan HaqeeqatoN kaa na gasaanah le ke aayii
    mirii sa'ir kia yeh kahiye k bahaanah le ke aayii
    maiN vo teer huN k koii na nishaana le ke aaii


    yehii Khoob hai k "Murshid!" na sune payaam meraa :)
    Last edited by SherAli; 20 November 2008, 06:37.

    Fall view from inside my car
    near my work place :)

  • #2
    Re: NaGhma-e-sabaa...valid marHoom kii nazm...MUST READ!

    w.salam
    buht khooob......
    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

    :pr:

    Comment


    • #3
      Re: NaGhma-e-sabaa...valid marHoom kii nazm...MUST READ!

      Originally posted by *Hala* View Post
      w.salam
      buht khooob......
      pasandeedgii ke liye aapkaa shukria, hamsheera saaHiba! :)

      Fall view from inside my car
      near my work place :)

      Comment

      Working...
      X