Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

♠ Untitled ♠

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ♠ Untitled ♠

    Dilo'n Ko Chhaid Ker Rakh Dain Jo, Un Lafzon Se Khaa'if Hoon
    Kisi Masoom Per Banti Hui Baton Se Khaa'if Hoon

    Wo Jin Ki Aanch Se Dil Ke Kanwal Murjha Ke Reh Jayen
    Main Aisay Garm, Jhulsaye Huay Lehjon Se Khaa'if Hoon

    Kisi Ko Zaat Se Meri Koi Takleef Na Pohnchay
    Mujhe Pyaray Hain Jo Main Unn Sabhi Rishto'n Se Khaa'if Hoon

    Unhain Her Aik Se Her Pal, Gilay Shikway He Rehtay Hain
    Anaa Ki Jaal Main Jakray Huay Logon Se Khaa'if Hoon

    Kaduurat Dil Main Hai To Phir Kisi Pal Waar Ker Dain Ge
    Naqaab-e-Dosti Daalay Huay Chehro'n Se Khaa'if Hoon

    Ye Maana Mainay Jazba'haye Dil Anmol Hotay Hain
    Magar Bay'mol Jo Ker Dain Main Unn Jazbo'n Se Khaa'if Hoon

    Bikher Jaye Koi To Phir Samaita Jaa Nahi Sakta
    Mujhe Jo Muntashir Ker Dain Unhi Socho'n Se Khaa'if Hoon

    Zamanay Bhar Main Meray Dard Ki Tash'heer Ker Dain gey
    Main Gham'khuaro'n Se, Hamdardi Se, Hamraazo'n Se Khaa'if Hoon

    Mujhe Bay'dast-o-Paa Ker Ke Kaheen Aagay Na Barh Jayen
    Main Apni Zindagi Ke Bhagtay Lamhon Se Khaa'if Hoon

    Mujhe Bay'chargi Se Bay'basi Se Khauf Aata Hai
    Saharay K Leay Phailay Huay Haathon Se Khaa'if Hoon

    Jo Hasrat Main Badal Ker Zindagi Ka Rog Ban Jayen
    Main Aisi Khuahisho'n Aise Tamana'on Se Khaa'if Hoon

    Ye Panjay Gaar Dain Jis Jaa, Wahan Kuch Bhi Nahi Rehta
    Main Apne Chaar'soo Phailee Hui Rasmo'n Se Khaa'if Hoon

    Kaheen Paas-e-Murawwat Hai Kaheen Ehsas-E-Ghairat Hai
    Kabhi Apno'n Se Khaa'if Hoon, Kabhi Ghero'n Se Khaa'if Hoon

    Jahan Na Chain Din Ko Ho Na Raatain Pur'sukoon Guzrain
    Sabhi Aisay Makaano'n Aur Shabistaano'n Se Khaa'if Hoon

    Khuda Haami Hai Apna, Ye Yaqeen To Hai Magar Phir Bhi
    Daroo'n Khaana Main Jo Paltay Hain Unn Fitno'n Se Khaa'if Hoon

    Nazar Her Gaam pur Dilkash Manaazir Se Ulajhti Hai
    Jo Manzil Se He Bhatka Dain Main Unn Raho'n Se Khaa'if Hoon

  • #2
    Re: ♠ Untitled ♠

    Bohat Khoob.
    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

    Comment

    Working...
    X