Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Zakhmon ko marhum kehtaa hoon, Qaatil ko maseeha kehtaa hooN

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Zakhmon ko marhum kehtaa hoon, Qaatil ko maseeha kehtaa hooN

    Qaisar Jaafree

    Zakhmon ko marhum kehtaa hoon, Qaatil ko maseehaa kehtaa hoon
    jo dil me guzraa kartee hain Mein pardaa-pardaa kehtaa hoon

    zulfon ko ghaTaayein kehtaa hoon, rukhsaar ko sholaa kehtaa hoon
    tum jitne acchhi lagti ho Mein usase acchaa kehtaa hoon

    ab reet yahee hai duniyaa kee, tum bhee naa bano beghaanaa kaheen
    ilzaam nahee dhartaa tum par ek jee ka DhakDaa kehtaa hoon

    Aye soze-wafaa jal-bhujne me, kyaa lazzat haasil hotee hai
    jis shaamaa ne daaman phook diyaa us shamaa ko apnaa kehtaa hoon

    Aye peere-mugaan khud ko tishnaa kehte huye gairat aatee hai
    jo ghoonT piye hai zahar bhare unko bhee sehbaa kehtaa hoon

    har chaak me sau-sau tuhmat hain, har taar me sau-sau rusvaayee
    us moD pe hai aashuftaasaree daaman ko dhabba kehta hoon

    arbaabe-chaman jo kehte hain, wo naam mujhe maloom nahee
    Jis Shaakh pe koyee phool naa ho Mein usko tammanaa kehtaa hoon

    "Qaisar" wo nawaa laa-haasil hai, jo sirf laboon pe lehraaye
    Choo le jo dilon kee gehraayee, Main usko Naghmaa kehtaa hoon

  • #2
    Re: Zakhmon ko marhum kehtaa hoon, Qaatil ko maseeha kehtaa hooN

    Asslam-o-Alikum WR WB

    Aye soze-wafaa jal-bhujne me, kyaa lazzat haasil hotee hai
    jis shaamaa ne daaman phook diyaa us shamaa ko apnaa kehtaa hoon

    Wah ! bhot umda

    FeaamnAllah
    Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
    Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


    Comment


    • #3
      Re: Zakhmon ko marhum kehtaa hoon, Qaatil ko maseeha kehtaa hooN

      nice 1 , keep sharing

      Comment


      • #4
        Re: Zakhmon ko marhum kehtaa hoon, Qaatil ko maseeha kehtaa hooN

        Originally posted by Bheegi-Palkain
        Asslam-o-Alikum WR WB

        Aye soze-wafaa jal-bhujne me, kyaa lazzat haasil hotee hai
        jis shaamaa ne daaman phook diyaa us shamaa ko apnaa kehtaa hoon

        Wah ! bhot umda

        FeaamnAllah
        Thanx BP....:)

        Comment


        • #5
          Re: Zakhmon ko marhum kehtaa hoon, Qaatil ko maseeha kehtaa hooN

          Originally posted by dill_k_chain
          nice 1 , keep sharing

          thanx DKC :)

          Comment


          • #6
            Re: Zakhmon ko marhum kehtaa hoon, Qaatil ko maseeha kehtaa hooN

            Assalaam o alekum,


            waah waah bahooot khoob shuuuuuu qaiser jafri ki yeh ghazal bahoot pasand aayi tumhaari pasand bahoot umdeh hai shukriyaa humse share kernien kaa khush raho in ashaar ke saath :rose :rose :)

            Qaisar" wo nawaa laa-haasil hai, jo sirf laboon pe lehraaye
            Choo le jo dilon kee gehraayee, Main usko Naghmaa kehtaa hoon
            :tang: RISK IS MY BUSINESS

            DANGER IS MY GAME

            DONT PLAY WITH ME
            BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

            Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

            Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

            Comment


            • #7
              Re: Zakhmon ko marhum kehtaa hoon, Qaatil ko maseeha kehtaa hooN

              Khoob! Bohat achhi pasand hai :rose
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #8
                Re: Zakhmon ko marhum kehtaa hoon, Qaatil ko maseeha kehtaa hooN

                Bohat umdah intikhab hay aap ka shummu keep sharing :)
                Allah

                Comment


                • #9
                  Re: Zakhmon ko marhum kehtaa hoon, Qaatil ko maseeha kehtaa hooN

                  Originally posted by khurram_shaikh
                  Assalaam o alekum,


                  waah waah bahooot khoob shuuuuuu qaiser jafri ki yeh ghazal bahoot pasand aayi tumhaari pasand bahoot umdeh hai shukriyaa humse share kernien kaa khush raho in ashaar ke saath :rose :rose :)

                  Qaisar" wo nawaa laa-haasil hai, jo sirf laboon pe lehraaye
                  Choo le jo dilon kee gehraayee, Main usko Naghmaa kehtaa hoon


                  W'salaam Khurram jee kaise hain aap? ab maine yahan bhi aana jaana shuru kar diya hai taakeh aap se mulaqaat hoti raha kare..:D: mere intekhaab ko pasand farmaane ka behad shukriya..maine apni ek ghazal bhi post ki hai 'main shaayar to nahi' mein ..zaroor dekhiyega...shukriya:rose

                  Comment


                  • #10
                    Re: Zakhmon ko marhum kehtaa hoon, Qaatil ko maseeha kehtaa hooN

                    Originally posted by Masood
                    Khoob! Bohat achhi pasand hai :rose
                    shukriya MASOOD jee :)

                    Comment


                    • #11
                      Re: Zakhmon ko marhum kehtaa hoon, Qaatil ko maseeha kehtaa hooN

                      Originally posted by Adnan
                      Bohat umdah intikhab hay aap ka shummu keep sharing :)
                      Thank u so very much:)

                      Comment


                      • #12
                        Re: Zakhmon ko marhum kehtaa hoon, Qaatil ko maseeha kehtaa hooN

                        buhat khoobsorat pasand hai sis apki:)

                        Comment


                        • #13
                          Re: Zakhmon ko marhum kehtaa hoon, Qaatil ko maseeha kehtaa hooN

                          thanx baarish...wah kya nick hai aap ka bhi:)

                          Comment


                          • #14
                            Re: Zakhmon ko marhum kehtaa hoon, Qaatil ko maseeha kehtaa hooN

                            Originally posted by shummu
                            thanx baarish...wah kya nick hai aap ka bhi:)
                            shukerya 4 pasandeedgi of nick:)

                            Comment


                            • #15
                              Re: Zakhmon ko marhum kehtaa hoon, Qaatil ko maseeha kehtaa hooN

                              Shumaila ji khubsurat intikhab parh kay bouhat acha laga.bouhat shukriya. :)
                              :roseENIGMA:rose

                              Comment

                              Working...
                              X