Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aSnaaf-e-shaayarii kaa Khudaa ban ga.ii Ghazal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • aSnaaf-e-shaayarii kaa Khudaa ban ga.ii Ghazal

    Ganesh Bihari 'Tarz' ki ghazal pesh-e-khidmat hai jo mujhe bahuuuuuuuut pasand hai..ummeed hai aap ko bhi pasand aayegi...! :)

    duniyaa banii to hamd-o-sunaa ban ga.ii Ghazal
    utraa jo nuur nuur-e-Khudaa ban ga.ii Ghazal

    guuNjaa jo naad-brahm, banii raqs-e-mahar-o-maah
    zarre jo thar-tharaaye sadaa ban ga_ii Ghazal

    chamakii kahiiN jo barq to ehasaas ban ga.ii
    chhaa.ii kahiiN ghaTaa to adaa ban ga.ii Ghazal

    aaNdhii chalii to qahar ke saaNche meiN Dhal ga.ii
    baad-e-sabaa chalii to nashaa ban ga.ii Ghazal

    haivaan bane to bhuuk banii bebasii banii
    insaan bane to jazb-e-vafaa ban ga.ii Ghazal

    uThaa jo dard-e-ishq to ashkoN meiN Dhal ga.ii
    bechainiyaaN baRhii to duaa ban ga.ii Ghazal

    zaahid ne pii to jaam-e-panaah ban ke rah ga.ii
    rindoN ne pii to jaam-e-baqaa ban ga.ii Ghazal

    arz-e-dakkan meiN jaan, to dilli meiN dil banii
    aur shahar lakhanau meiN hinaa ban ga.ii Ghazal

    dohe ,rubaa.ii ,nazmeiN ,sabhii Tarz the magar
    aSnaaf-e-shaayarii kaa Khudaa ban ga.ii Ghazal

  • #2
    Re: aSnaaf-e-shaayarii kaa Khudaa ban ga.ii Ghazal

    MashaAllah. Bohat arsey baad aik aisa kalaam parhney ko mila hai jisney dil mein shairi key liye jo aqeedat hai usko aik naee jilla bakhshi hai. Alfaaz aur unkey mano mein saji hui yeh ghazal apni tarz ka aik behtreen namoona hai, jo kisi bhi fun'parey sey kam nahin. Shummu aap ka share kardah kalaam ka tarz-e-biyaan aur tarakeeb-e-alfaaz ney is ghazal mein jo rooh phoonki hai woh aik masterpiece hai. :rose
    Last edited by Masood; 10 November 2005, 00:08.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: aSnaaf-e-shaayarii kaa Khudaa ban ga.ii Ghazal

      Asslam-o-Alikum WR WB

      Bhot umda

      FeamanAlalh
      Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
      Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


      Comment


      • #4
        Re: aSnaaf-e-shaayarii kaa Khudaa ban ga.ii Ghazal

        Originally posted by Masood
        MashaAllah. Bohat arsey baad aik aisa kalaam parhney ko mila hai jisney dil mein shairi key liye jo aqeedat hai usko aik naee jilla bakhshi hai. Alfaaz aur unkey mano mein saji hui yeh ghazal apni tarz ka aik behtreen namoona hai, jo kisi bhi fun'parey sey kam nahin. Shummu aap ka share kardah kalaam ka tarz-e-biyaan aur tarakeeb-e-alfaaz ney is ghazal mein jo rooh phoonki hai woh aik masterpiece hai. :rose
        bahut bahut shukriya mere intekhaab ko is qadar pasand farmaane ka MASOOD jee..mujhe khud ye ghazal behad pasand hai.... :)

        Comment


        • #5
          Re: aSnaaf-e-shaayarii kaa Khudaa ban ga.ii Ghazal

          Originally posted by Bheegi-Palkain
          Asslam-o-Alikum WR WB

          Bhot umda

          FeamanAlalh
          w'salaam wr wb

          shukriya! :)

          Comment


          • #6
            Re: aSnaaf-e-shaayarii kaa Khudaa ban ga.ii Ghazal

            Bohdat Umdah :)
            Allah

            Comment


            • #7
              Re: aSnaaf-e-shaayarii kaa Khudaa ban ga.ii Ghazal

              Originally posted by YAARAM
              Bohdat Umdah :)
              thank u:)

              Comment

              Working...
              X