Umar bhar hum imtehan dete rahe
kaise dhokke raazdan dete rahe
bhag nikle the hujum e gham se hum
raaste lekin nishan dete rahe
jis jaggah par bhi jhukai thi jabeen
zakham sang e aastan dete rahe
bijliyan yaadon ki phir girti rahen
daag e dil jab tak dhuan dete rahe
hum to gairon ka gila karte rahe
aur charke,,meherban dete rahe
kaise dhokke raazdan dete rahe
bhag nikle the hujum e gham se hum
raaste lekin nishan dete rahe
jis jaggah par bhi jhukai thi jabeen
zakham sang e aastan dete rahe
bijliyan yaadon ki phir girti rahen
daag e dil jab tak dhuan dete rahe
hum to gairon ka gila karte rahe
aur charke,,meherban dete rahe
Comment