Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

******Eid Ashaar Special*******

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ******Eid Ashaar Special*******

    Eid ke chand ko dekhe na koi mere siwa
    Iske deedar ko ek saal guzara mai ne

    Comment


    • #17
      Re: ******Eid Ashaar Special*******

      Jis ghari Eid ka chand nazar aaya,
      Baad Dua lab pe tera naam aaya,

      Comment


      • #18
        Re: ******Eid Ashaar Special*******

        [ATTACH]61609[/ATTACH]

        Comment


        • #19
          Re: ******Eid Ashaar Special*******

          Zabardast ..................Buhat KhooB ..............!
          buhat hee achay lagay ash`aar .....fresh ho giya Mood sachi
          @ Aanchal and Mr.Khan!
          Bravo!!

          Comment


          • #20
            Re: ******Eid Ashaar Special*******

            :rose
            Bin Dhaikhay usay ya Rabb yeh Eid na guzray
            Ker paida koi aisa sabab, yeh Eid na guzray
            Duniya ko dikhaya hay, ik chand jo too nay
            Mujh ko bhi dikha day abb yeh Eid na guzray
            **********************************

            Aaye Khuda kar too unhain bhi Eid ki khushiyan naseeb
            Jin kay dam say ham bhi hain aour hay hamaari Eid bhi
            **********************************
            Iss baras koi hassen khwab na tha Ankhon main
            Iss baras ham say bhi daikha na gaya Eid ka chand
            **********************************
            Eid aayi hay musarat ki payami ban ker
            Woh musarat jo teri deed say wabasta hay
            **********************************
            Eid ka din bhi shab-e-matam hay meray wastay
            Jis khushi main woh na aaye woh khushi achi nahein
            **********************************
            Iss Eid par bhi mil na sakay ham to kaya hooa
            jazbon main jo khaloos to Eidain hazar hain
            **********************************
            Phir aa gayi hay Eid magar dill udas hay
            Khushiyon ki hay naveed magar dill udas hay
            **********************************
            Eid kay din na sahi Eid kay kuch ba'ad sahi
            Eid to ham bhi manayein gay teri deed kay ba'ad
            **********************************
            Yeh Eid kiya hay keh duniya ki her musarat ko
            Tumhari yad par qurban ker diya main nay
            **********************************
            Un kay abroo-e-khameeda ka tarah teekha hay
            Apni aankhon main barhi daer chubha Eid ka chand
            **********************************
            Ghairon main hay jo shad usay Eid mubarak
            Ham jis ko nahein yaad usay Eid mubarak
            **********************************
            Khat main likha tha Eid kab hogi
            Ham ko tareekh likh kay bhijwayein
            Choonkeh jhagrha tha iss liye ham nay
            Likh diya Aap jabb bhi aa jayein
            **********************************
            Aaj kay din saaf ho jata hay dill aghiyar ka
            Aao mill lo Eid, yeh maoqa nahein takraar ka
            **********************************
            Khoob roya main lipat kar gham-e-tanhai say
            Koi bhi aa kay galay say na laga Eid kay din
            **********************************
            Meray aangan main dabay paaon naye rog liye
            sall kay sall koi Eid chali aati hay
            **********************************
            Kab tery milnay ki taqreeb bana Eid ka chand
            Teri yaad aayi to dekha na gaya Eid ka chand
            **********************************
            Dekha hilal-e-Eid to aaya tera khiyal
            Woh Asman ka chand hay to mera chand hay
            **********************************
            Kuch musarat mazeed ho jaye
            Iss bahanay say Eid ho jaye
            Eid milnay jo aap aa jayein
            Meri bhi Eid, Eid ho jaye
            **********************************
            Moyasar jin ko apnay doston ki deed hoti hay
            Jo sach poocho to duniya main unhi ki Eid hoti hay
            **********************************
            Kitni palkon say fizaon main sitaray tootay
            Kitnay afsanon ka unwan bana Eid ka chand
            **********************************
            Chand jab aaya nazar uss bam par
            Rashk aaya apni her ikk sham par
            **********************************
            Eid ka din hay galay aaj to mil lay zaalim
            Rasm-e-duniya bhi hay, maoqa bhi hay dastoor bhi hay
            **********************************
            Yeh Eid kay pakwan ka kuch aisa asar hay
            Mehboob ki zulfain bhi lagti hain sawayan
            **********************************
            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

            :pr:

            Comment


            • #21
              Re: ******Eid Ashaar Special*******

              ......
              Attached Files
              u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

              :pr:

              Comment


              • #22
                Re: ******Eid Ashaar Special*******

                Very Very Nice Threads...

                :thankzu: To All
                Shahsigpic

                Comment


                • #23
                  Re: ******Eid Ashaar Special*******

                  :rose
                  Attached Files
                  u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                  :pr:

                  Comment


                  • #24
                    Re: ******Eid Ashaar Special*******

                    ......:rose
                    Attached Files
                    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                    :pr:

                    Comment


                    • #25
                      Re: ******Eid Ashaar Special*******

                      :rose
                      Attached Files
                      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                      :pr:

                      Comment


                      • #26
                        Re: ******Eid Ashaar Special*******

                        Zabardast..........
                        Life is more strict than a teacher
                        A teacher teaches a lesson
                        and takes an exam.
                        But life takes an exam
                        and then teaches a lesson

                        Comment


                        • #27
                          Re: ******Eid Ashaar Special*******

                          Aayee hai Eid aaj bhi har saal ki tarhaa

                          Par, aise ke, tarab ka koi silsilaa na ho


                          Pichhle baras thaa khauf, tujhe kho na doon kahin

                          Ab ke baras duaa hai teraa samnaa na ho
                          u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                          :pr:

                          Comment


                          • #28
                            Re: ******Eid Ashaar Special*******

                            Chaand dekha teri aankhon mei na honton pe shafaq

                            Milti julti hai shab-e-gham se teri deed ab ke

                            Dil dukha hai, na voh pehlaa sa, na jaan tarhpi hai

                            Ham hi ghaafil the ke, aayee hi nahin Eid ab ke ..
                            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                            :pr:

                            Comment


                            • #29
                              Re: ******Eid Ashaar Special*******

                              kia lutf-e-eid hai jo agar tum se door haiN
                              guzre-ga roz-e-eid tasavvur maiN aap ke

                              woH subaH eid ka manzar tere tasavvur meiN
                              woH dil maiN aa ke ada tere muskraane ki

                              Eid ke roz bhi majboor the taqdeer se ham
                              ro paRhe mil ke gale aap ki tasveer se ham

                              kHud chaand unheeN kee deed ki chaah meiN haazir-e-kHidmat hota hai
                              Voh chaand ki nazroN meiN aa'aiN ,ik rashk kaa aalam hota hai
                              kiyaa tum ko bataaiN ham yaro kiyaa zeest ka aalam hota hai
                              jab uTh-te haiN un ke hinaaee hath aur adab se sar kHam hotaa hai

                              wafa ka sandes le kar utre tumhaare aaNgan meiN
                              gawaah rafaqtoN ka, muhabbatoN ka ban kar hilaal-e-eid
                              u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                              :pr:

                              Comment


                              • #30
                                Re: ******Eid Ashaar Special*******

                                guzre hue wasal ke din raat bhool ja
                                milne na deiNge ab hameiN haalaat bhool ja
                                mausam badal gaye haiN zamana guzar gaya
                                ai dost tu bhi eid-e-mulaqaat bhool ja

                                ahbaab puchhte haiN baRhi saadgi ke saath
                                tu ab ke saal eid manaye- ga kis tarah?

                                gHam hi gHam haiN teri ummid meiN kia rakha hai
                                eid aaya kare ab eid meiN kia rakha hai?

                                dekha hilaal-e-eid to aaya tera kHiyaal
                                woH aasman ka chaaNd hai, tu mera chaaNd hai

                                aane wali rutoN ke aaNchal maiN
                                koi saaet-e-sayed kia ho gi
                                gul na ho ga to jashn-e-kHushbu kaisa
                                tum na ho ge to eid kia ho gi

                                kHud to aae nahi aur eid chali aayi hai
                                eid ke roz mujhe yuN na sataye koi
                                u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                                :pr:

                                Comment

                                Working...
                                X