Asalam-o-Alikum
Bars Ya Do Bars Ki Qaid-e-Tanhaye Bhi Gar hoti
Tu Phir Bhi Zindagi La'Char Ho Jati
Mohabbat Be'Wafa Aur Dosti Be'Zaar Ho Jati
Maghar Tum Nay Tu Sarey Hijr Kay Be'Maar Mousaam
Be'Kali Be'Chargi Aur Karb Kay
Bosidah Bistar Par Guzarey HaiN
Sar-e-Balein
Kisi Kay hath Main Chara'Gari Ki Shamaein Larzan
Aur Na Awazo'n Kay Roshan'Dan
Nishat-e-Khwab Kia
Jab Wah Rahay Darwaza-e-Miz'gaan
Yeh Dukh Asaan Na Thay Janah
Purani Dastano'n Main Hota Tha
Kay Koi Shehzadi Ya Koi Neelam Pari
Deo'n Aur Asebo'n Ki Qaidi
Apney Adaam'Zaad Dewaney Ki Rah Taktey
Shabeeha-e-Sung Ho Jati
Maghar Wo Dastanein Then
Phir Un Main Bhi Tu Akhir'Kar
Us Ka Ba'Wafa Sawant Shehzada
Samandar Par Karta
War Karta
Koh'Saro'n Kay Jas'd Masmar Karta
In Talimati Hasaro'n Say Usay Azaad karta
Sath Ley Jata
Maghar Tu Dastano'n Ka koi Kirdaar
Ya Pareena Qiso'n Ka Koi Hissa Na The
Tu Nay Khud Azaargi Apney Tee'n hI Muntakhib Ki The
Kaye Din Phir Kaye Phir Naey Din
Phir Gaein Raatein Gaein Raatein Naye Raatein
Badan ka Dozakhi Siyaal Indhaan
Aur Lahoo Ka Atsheen Lawa
Ragho'N Main Dorney Phirney Ka Phir Qa'il Nahin Rehta
Ta'Aluq Ki Chitaney Rait Ban Jati HaiN
Dil'Dari Kay Chasmey Kushk Ho Jatey Hain
Armaan Aanso'n Ka RiZq Ban Jata hai
Aur Dil Aik Hi Surat Paey Phir Ma'il Nahin Rehta
Wafa'Dar Ba'Shart Istawari Ka Chalan
Badal Jatey hain Khad-o-Khal
Pigal Jatey hain Jism-o-Jaan
Yeh Dukh Asaan Nahin Janah
Ahmed Farz
Wa.Salaam

Comment