Asalam-o-Alikum
Meray Dil Ki Rakh Kured Mat Isay Muskara Kay Hawa Na Dey
Yeh Charagh Phir Bhi Charagh Hai Kahein TeRa Hath Jala Na Dey
Naey Dour Kay Naey Khwaab Hain Naey Mousamo'n kay Gulaab HaiN
Yeh Mohabbato'n kay Charagh Hain Inhein Nafrato'n Ki Hawa Na Dey
Zara Dekh Chandni Ki Patiyo'N Nay Bikhar Bikhar Kay Tamam Shab
TeRa Naam Likha Hai Rait Par Koi Lehr Aa Kay Mita Na Dey
Main Udasiya'n Na Saja Sakho'N Kabhi Jism-o-JaaN Kay Mizaar Par
Na Diye Jalein Meri Ankh Main Mujhay Ithni Sakh't Saza Na Dey
Meray Hath Chalney Kay Shoq Main Bari Dhoop Sar Paey Uthaey Ga
Tera Naak Naqsha Hai Mo'am Ka Kabhi Ghum Ki Aag Ghula Na Dey
Main Ghazal Ki Shabnami Ankh Say Yeh Dukho'n Kay Phool Chuna Karo'N
Meri Saltanat Mera Fan Rahay Mujhay Taaj-o-Takh't Khuda Na Dey
Basheer Badar
Wa.Salaam

Comment