Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aania Ki Pasand

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aania Ki Pasand

    Note: dear admin/forum moderator .. I have a request .. as I could not yet .. found my old thread of same type so please merge it with the old one .. if rules can not let allow such repetitive thread
    Thanks



    baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa
    ab zahan me.n nahii.n hai par naam thaa bhalaa saa

    abaruu khi.nche khi.nche se aa.Nkhe.n jhukii jhukii sii
    baate.n rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa

    alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar me.n
    ban jaaye jangalo.n me.n jis tarah raastaa saa

    Khvaabo.n me.n Khvaab us ke yaado.n me.n yaad us kii
    niindo.n me.n ghul gayaa ho jaise ke rat_jagaa saa

    pahale bhii log aaye kitane hii zindagii me.n
    vo har tarah se lekin auro.n se thaa judaa saa

    agalii muhabbato.n ne vo naa_muraadiyaa.N dii.n
    taazaa rafaaqato.n se dil thaa Daraa Daraa saa

    kuchh ye ke muddato.n se ham bhii nahii.n the roye
    kuchh zahar me.n bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasaa

    phir yuu.N huaa ke saavan aa.Nkho.n me.n aa base the
    phir yuu.N huaa ke jaise dil bhii thaa aabalaa saa

    ab sach kahe.n to yaaro ham ko Khabar nahii.n thii
    ban jaayegaa qayaamat ik vaaqi_aa zaraa saa

    tevar the beruKhii ke andaaz dostii ke
    vo ajanabii thaa lekin lagataa thaa aashnaa saa

    ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
    naahaq thaa zo.Num ham ko jab vo nahii.n thaa pyaasaa

    ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
    apanaa bhii haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa

    Visit My Early PS Work
    You Are Welcome To Comment

  • #2
    Re: Aania Ki Pasand

    Dasht main piyaas bhujatey howey mar jatey hain
    Hum parinday kaheen jatey howey mar jatey hain

    Hum hain sookhay howey talaab pay baithy howey hans
    Jo tayaluq ko nibhatey howey mar jatey hain

    Un kay bhee qatl kaa ilzaam humarey sar hay
    Jo humain zehar pilatey howey mar jatey hain

    Yeh mohabbat kee kahanee nahee martee laikin
    Log kirdaar nibhatey howey mar jatey hain

    Hum hain woh tootee howee kashtion waley faraz
    Jo kinaron ko milatey howey mar jatey hain
    Visit My Early PS Work
    You Are Welcome To Comment

    Comment


    • #3
      Re: Aania Ki Pasand

      Is se pehle ke meri khak bikhar jaye
      Aey sham-e-gham tu hi bta aj kidhar jae gi

      Wo dikhae gi nishan-e-manzil mujh ko
      Khak-e-pa teri jis rah se guzar jaye gi

      Mein diyiay ghum kay jlaun ga teri chahat mein
      Chandni jb teray angan mein utar aey gi

      Maujza kahun ise ya k hawadis ka kamal
      Dekh k mujhko jb ankh teri bhar aey gi

      Wo bicharne ki ghari aur woh shehr-e-matam
      Kis ko Zohaib, ab woh sham nazar aey gi
      Visit My Early PS Work
      You Are Welcome To Comment

      Comment


      • #4
        Re: Aania Ki Pasand

        Teray khushboo main basay khat main jalaata kaisay
        Pyar main doobay huay khat main jalaata kaisay
        Teray haathon kay likhay khat main jalata kaisay

        Jin ko dunia ki nigahon say chupayay rakha
        Jin ko ek umr kalejay say lagayay rakha
        Deen jin ko jinhain eeman banayay rakha

        Jin ka her lafz mughe yaad paani ki terhan
        Yaad thay mugh ko pegham-e-zubani ki terhan
        Mujhko pyaray thay jo unmol nishaani ki terhan

        tu nay dunia ki nigahon say jo bach ker likhay
        sal ha saal meray naam barabar likhay
        kabhi din main to kabhi raat ko uth ker likhay

        teray khat aaj main ganga main bahaa aaya hun
        aag behtay huay paani main laga aaya hun
        Visit My Early PS Work
        You Are Welcome To Comment

        Comment


        • #5
          Re: Aania Ki Pasand

          ghane jangloon ke safar pe tha woh jo muddaton se chala hua
          kaheen raat orrh ke so gaya woh janam janam ka thaka hua

          nai dastaan shuru hui keh usi kahani ka baab hay.
          wohi karbala hay hussain phir se ghaneem mein he ghira hua

          miri justuju ko kamal day mujhe shak ke sanchay main dhal day
          Miri por por main zehr bhar main hoon amriton ka dasa hua

          wohi shola apnay wujood ka wohi lums phir say naseeb kar
          tiri aag phir say bharrak utthay keh aalaao kab ka bujha hua

          mujhe izn ho keh main ji uthun mujhe izn ho keh main mar sakoon
          aey khudaaey zindah bus aek kun main hoon dono samt bata hua

          koi chand dhar mere haath pur kabhi mehr e taban saja koi
          'yeh charagh koi charagh hay na jala hua na bujha hua'

          tiray sab hawalay hain moutabar tira naam sab say buland hay
          tu 'Jamal' day kay nishan day, main hoon harf harf mita hua
          Visit My Early PS Work
          You Are Welcome To Comment

          Comment


          • #6
            Re: Aania Ki Pasand

            nice sharing dear
            and apna problem pm kar k mod ko batain to solve hoga
            Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

            Comment


            • #7
              Re: Aania Ki Pasand

              Bahot he khoobsurt collection bahot khoobsurt choice hai aap ki
              hamein bahot pasand aai khas taor per pehli wali ghazal
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: Aania Ki Pasand

                Beautiful Collection.
                aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                Comment


                • #9
                  Re: Aania Ki Pasand

                  nice sharing
                  1st one is my favourite
                  ~~~duaoon main dua yeah hay k bus mil jaein tujh ko he~~~~
                  ~~~merey naseeb main likhi Khuda ney jo bhi khushiyan hon~~~

                  Comment


                  • #10
                    Re: Aania Ki Pasand

                    Originally posted by Aania View Post
                    Note: dear admin/forum moderator .. I have a request .. as I could not yet .. found my old thread of same type so please merge it with the old one .. if rules can not let allow such repetitive thread
                    Thanks



                    baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa
                    ab zahan me.n nahii.n hai par naam thaa bhalaa saa

                    abaruu khi.nche khi.nche se aa.Nkhe.n jhukii jhukii sii
                    baate.n rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa

                    alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar me.n
                    ban jaaye jangalo.n me.n jis tarah raastaa saa

                    Khvaabo.n me.n Khvaab us ke yaado.n me.n yaad us kii
                    niindo.n me.n ghul gayaa ho jaise ke rat_jagaa saa

                    pahale bhii log aaye kitane hii zindagii me.n
                    vo har tarah se lekin auro.n se thaa judaa saa

                    agalii muhabbato.n ne vo naa_muraadiyaa.N dii.n
                    taazaa rafaaqato.n se dil thaa Daraa Daraa saa

                    kuchh ye ke muddato.n se ham bhii nahii.n the roye
                    kuchh zahar me.n bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasaa

                    phir yuu.N huaa ke saavan aa.Nkho.n me.n aa base the
                    phir yuu.N huaa ke jaise dil bhii thaa aabalaa saa

                    ab sach kahe.n to yaaro ham ko Khabar nahii.n thii
                    ban jaayegaa qayaamat ik vaaqi_aa zaraa saa

                    tevar the beruKhii ke andaaz dostii ke
                    vo ajanabii thaa lekin lagataa thaa aashnaa saa

                    ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
                    naahaq thaa zo.Num ham ko jab vo nahii.n thaa pyaasaa

                    ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
                    apanaa bhii haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa


                    Assalam O alaikum ...Dear !

                    mein nay aaj aap 1563 threads ko awal taa aakhir deykha hai
                    magar iss tarah bazm-e shairi mein koi b thread aap nay start nahi
                    kia ....Jiss mein aik hee thread mein aap ki pasNd ki sabhi
                    poetry ho...aap nay 150 k qareeb ya kuch ziyada Mukhtalif poetry
                    share ki hai ..oss k elawa ....apnay section mein b kafi threads bana-ay
                    magar Bazm-e Shairi mein iss tarah ka koi thread nahi mila....

                    Rest I dont know...! :donno:
                    anyway aap iss mein apni saari collection share karti ja-eyay ..

                    Shukriya :)

                    Comment


                    • #11
                      Re: Aania Ki Pasand

                      nice collection...

                      Comment

                      Working...
                      X