Main jis key dil ki kitab banta
Main jis ki chahat ka khwab banta
Main hijar mosam ki lambi raaton main
Yaad Ban kar azaab banta
Koi to hota?
Jo meri khwaish main uth kar
raaton ko khoob rota
Dukhon ki chadar lapeit kar
hajoom duniya say door hota
Main rooth jaata manata mujh
ko, ke chahe mera kasoor hota
Koi to hota?
Jo mujh ko dil ka qarar kehta
Ragon ka apni fishar kehta
Udaas mosam main taazgi ki biyar ban kar
Jo meri banhon ko arzoo ka diyar kehta
Koi to hota?
Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta
Woh iss jahan sey ghamon ka meray hisab leta
Woh sari duniya ki rafaqaton key tamam rishtey
Koi to hota?
Main jis key itney qareeb hota
Na paas koi raqeeb hota
Main tanha us ka habib hota
Yeh silsila bhi ajeeb hota
Koi to hota? Aye Kaash
Koi to hota?
Main jis ki chahat ka khwab banta
Main hijar mosam ki lambi raaton main
Yaad Ban kar azaab banta
Koi to hota?
Jo meri khwaish main uth kar
raaton ko khoob rota
Dukhon ki chadar lapeit kar
hajoom duniya say door hota
Main rooth jaata manata mujh
ko, ke chahe mera kasoor hota
Koi to hota?
Jo mujh ko dil ka qarar kehta
Ragon ka apni fishar kehta
Udaas mosam main taazgi ki biyar ban kar
Jo meri banhon ko arzoo ka diyar kehta
Koi to hota?
Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta
Woh iss jahan sey ghamon ka meray hisab leta
Woh sari duniya ki rafaqaton key tamam rishtey
Koi to hota?
Main jis key itney qareeb hota
Na paas koi raqeeb hota
Main tanha us ka habib hota
Yeh silsila bhi ajeeb hota
Koi to hota? Aye Kaash
Koi to hota?
Comment