khuwaab saath rehne ke nit naye dekhata haon...
ye jo asal mausam hai ye guzarta jaata hai...

khud ko sabz hi rakha aansoun ki baarish mein...
warna hijar ka mausam kis ko raas aata hai...

hawaon ka mausam tujh ko kya khabar janaan...
Dard-e-badgumaani se dil toot bhi jaata hai...

Ek tum hi thi warna aadmi mohabbat main...
laakh aayein deewarein raastey banata hai...

hum to khair nadaan the muntazir rahe warna...
kaun apni beenayi is tarah ganwata hai...

kitne khuwaab aankhon main zakham banne lage hai...
jab hawa ke honton pe tera naam aata hai...

Comment