Assalam-o-Alaikum Dear Members!
Suno! aye nadan lerkiyo tum
Kisi ki janib qadam berhaao
tow soach Lena
tumharay peechay bohat si ankhain
shakista derwaza tak rahi hain
jinhain khaber kiya?
Tumhari ankhain haseen chehroon
ki uljhanoon main ulajh rahi hain,
suno aye nadan lerkiyon tumharay pichay
leraztay hathoon ki her sada main
yehi dua hay
k jis terhaa say ho ghar say nikli
isi tarah say hi lot aao
zaroratoon ka bara alao dahak raha hay
k borha baba dawa ki khatir taras raha hay
usay tumhari fiker ka lamha bhi das raha hay
zara si gaflat say sans is ki na toot jae
dua kerti wo borhi ankhain
na rooth jaeen
Suno nadan lerkiyun tum
zaroratoon kay samander main
hayya ki kashti bachaye rakhna!!
tow soach Lena
tumharay peechay bohat si ankhain
shakista derwaza tak rahi hain
jinhain khaber kiya?
Tumhari ankhain haseen chehroon
ki uljhanoon main ulajh rahi hain,
suno aye nadan lerkiyon tumharay pichay
leraztay hathoon ki her sada main
yehi dua hay
k jis terhaa say ho ghar say nikli
isi tarah say hi lot aao
zaroratoon ka bara alao dahak raha hay
k borha baba dawa ki khatir taras raha hay
usay tumhari fiker ka lamha bhi das raha hay
zara si gaflat say sans is ki na toot jae
dua kerti wo borhi ankhain
na rooth jaeen
Suno nadan lerkiyun tum
zaroratoon kay samander main
hayya ki kashti bachaye rakhna!!
Us ski bheegii aankhon main
Chupay karb ko
Mahsoos kiya
To jana
Kay jin Lafzoon ko
Izhar ka pani nahi milta
Wo yoonhi
Chupay karb ko
Mahsoos kiya
To jana
Kay jin Lafzoon ko
Izhar ka pani nahi milta
Wo yoonhi
Mohsin Greeb Logg To Tinkoon Ka Dhear Hain
Malbe Main Dab gey To Kabhi Pani Main Beh gey
tumhare hathoon ke liye ik dua*
mere mola yeh haseen hath salamat rekhna
aisa lagta hai jo yeh hath dua ko utein
kudh farishtay chalay ate hoon zameen ki janib
sonp ker mar marin hathoon ki hatheli ko hina
jo b manga ho wo chup chap diye jatay hoon
mere mola yeh haseen hath salamt rekhna
in ki khushboo se muattar hai mera sara wajood
inhi hathoon main mere khawab chupe hain mola
unglian mujh ko mohabbat main bigho deti hain
inhi poroon ne mere dard chunay mola
in ki rag rag main muhabbat hi muhabbat rekhna
mere mola yeh haseen hath salamt rekhna
inhi hathoon ki lakeeroon main muqaddar hai mera
yeh jo konay main sitara hai sikandar hai mera
khawab se naram khayaloon ki tarah nazuk hain
in ke har lams main mere liye chahat rekhna
mere mola yeh haseen hath salamt rekhna
mere mola yeh haseen hath salamt rekhna
.................................................. ............Wasi Shah
Sochti hoon ke...
Sochti hoon ke...
Bohat zyada khushi mein aksar....
Aansoo kyun aajate hain....?
Udaas mausmon mein....
Kisi bache ki masoom hansi...
Tabiyat ko rangeen kyun kar daiti hai...?
Ache bhale saath chalte huye log....
Achanak raasta kyun badal lete hain....?
Aur kabhi umeedoon ke bar aks...
Koi na-ashna apna kaise ban jaata hai..?
Phir sochti hoon ke...
December se pehle...
Darakhtoon ke patte jahaan pehle zard hote hain....
Aur phir bikhar jaate hain...
Mausam ki is tabdeeli main...kahin kahin
Gehre sabz rang ki tehniyoon pe...
Gulab ki surkh komplein bhi to phootti hain.!!!
Na mumkin ....ko mumkin hone mein...
Taqdeer ki ek...
Zara si tabdeeli kaafi hoti hai....!!!
Comment