Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bachpan Ke Dukh Kitne Ache Hote Thay

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Bachpan Ke Dukh Kitne Ache Hote Thay







    Bachpan Ke Dukh Kitne Ache Hote Thay

    Tub Dil Nahin Sirf Khilone Toota Karte Thay

    Wo Khushiyaan Bhi Najaane Kaisi Khushiyaan Thi

    Titli Ke Par Noch Ke Uchla Karte Thay

    Paaoun Maar Ke Khud Baarish Ke Paani Main

    Khud Apni Kashti Dooboya Karte Thay

    Ab Sochein To Chot Si Parti Hai Dil Pe

    Rait Par Gharonde Bana Kar Khud Tora Karte Thay

    Chote Thay To Makr_O_Faraib Bhi Chote Thay

    Daana Daal Kar Chirya Pakra Karte Thay

    Apne Jall Jaane Ka Afsos Bhi Na Tha Humein

    Jub Jalte Sholon Ko Tang Kiya Karte Thay

    Khushboo Ke Urte Hi Kyun Murjha Gaye Phool

    Kitne Bhole Pan Se Hum Poocha Karte Thay

    Aaj Bhi Wo Taabeerein Lahoo Lahoo Rulaati Hain

    Bachpan Main Jo Hum Sapne Dekha Karte Thay

    Ab To Ek Aansoo Bhi Ruswa Kar Jaata Hai

    Bachpan Main To Jee Bhar Ke Ro Liya Karte Thay






Working...
X