Kehtey hain qadeem zamaney main turkey ke kisi shumali elaqey main, jis ka naam Marmaris tha, ous ke hakim (king) ki baiti ek aur ek machera (fisherman) ek dosrey ko chahney lagey. Aur jese ke humesha hota aaya hai, oun ki mohabbat tab tak manzil nahi paa sakti thi jab tak shahzadi ke baap (badshah) is per razamand na hota. Is liyeh dono chup ke rmiltey they.
Magar badshah ko apni baiti ke raat ko chup ker bahir janey ka ilam ho gaya, aur ek raat ous ne kuch sipahiyo'n ko ous ka peecha kerne ko kaha. Soldiers wapis aayeh to badshah ko sab kuch btaa diya, ke shahzadi chotey qasbey ke dosri taraf samandar (khaleej) ke kinarey ek chiragh se roshni kerti hai aur woh machera ous roshni tak pohanch jata hai. Is per badshah ne ek soldiers ko ous ke btayeh huwey mansoobey per amal kerne ki taqeed ki.
Aur agli raat jab shahzadi samandar ke kinarey pohanchi to soldiers ne ousey giriftar ker liya aur chiragh ous ke hatho'n se cheen ker khudh roshni ke sath kharey rahey macherey ko phansaney ke liye.
Shazadi kisi tarah oun ke hatho'n se farar honey main kamyab ho gayi, aur macherey ko tanbeeh kerne ke liyeh bhagi, sath hi ousey yeh khayal aaya ke ager wo sahil se hi awaz dai ker rokne ki koshish karey gi to yeh mumkin na ho ga. Lehaza wo samandar main koud pari.
Magar yahi ek moajza huwa, jahan jahan wo qadam rakhti waha saamndar ka pani sahil mai tabdeel ho jata aur jese hi soldiers ous ke peechey jatey wo dobara pani main tabdeel ho jata.
Aur jab wo macherey tak pohanchney wali thi tabhi soldiers ka tanka huwa ek teer (arrow) jo macheray ki taraf tha wo shahzadi ko ja laga, jis per woh wari marr gayi ..........
Marmaris ke log aaj bhi yahi kehtey hain ke jab shahzadi ka khoon samandar ke pani main mila to ous ki waja se rait (sand) ka rang badal gaya ............. aur yeh tasweer samandar ek ous hisey ki hai jahan aaj bhi yeh rang wese hi hai.
.

Comment