Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Brijinder"Sagar" Ka kalaam

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Brijinder"Sagar" Ka kalaam

    Ishq


    Ishq junooN bhi hai sanjeedgi bhi hai
    Yeh hawis bhi hai pakeezgi bhi hai
    Shokhi bhi hai ishq-
    Baanki adaaoN pe lutnay ka naam bhi hai
    Rooh-e-irtqa-e-dil-o-dimagh bhi-
    Zindagi ko samjhnay ka naam bhi hai
    Ishq masroofiat bhi fursat bhi hai
    Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai
    Ishq rif_at bhi aur wus_at bhi hai
    Aur ishq kabhi faqt chahat bhi hai
    Yeh masoomiyat bhi rikhshandgi bhi hai
    Bosa hai to kabhi bandgi bhi hai
    ZamiN bhi hai aur aasmaN bhi hai
    Magar ufaq ka ismay nishaN bhi hai
    Kabhi bistar ki salwaton sa-
    To kabhi mandir ki moortoN sa
    Kabhi uryaanioN ka shaida
    To kabhi Meera-o-Mariam ki soortoN sa
    Ishq rog bhi magar mudawa bhi hai
    Ishq parastish bhi magar da_awa bhi hai

    RishtoN say sada juda hai ishq
    Isliyay hi bana khuda hai ishq
    ---------------------
    Meaning:
    Rooh-e-irtqa-e-dil-o-dimagh -ehsaas aur khyaaolon ki tarakki ki aatma
    furqat-Judai
    rif_at -uNchai
    wus_at -vishaalta
    rikhshandgi- masti
    ufaq -Horizon
    uryaanioN-nudity

  • #2
    Re: Brijinder"Sagar" Ka kalaam

    buht khoob
    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

    :pr:

    Comment


    • #3
      Re: Brijinder"Sagar" Ka kalaam

      sab theek hai kia esay urdu main nahee likh saktay mean inpage urdu main

      Comment

      Working...
      X