Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Its Amir Collection...

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Its Amir Collection...

    Ajab pagal si larki
    Mujhay har roz kehti ha
    Batoo kuch naya likha
    Kabhi is say ya kehta hoon
    K main nay nazam likhi ha
    Magar Unwan daina ha
    Bohat baytaba hoti ha
    Woh kehti ha
    Sunao
    Main osay acha sa aik unwan daiti hoon
    Woh meri nazam sunti ha
    Aur oski bolti aanhain
    Kisi misra kisi tashbeer pay youn muskurati hain
    Mujahy lafzoon say kirnain poochti mehsoos hoti hain
    Woh phir is nazam ko acha sa iak unwan daiti ha
    Aur is k aakhri misray k nichay
    Aik ada-e-bayniyazi say
    Woh apna naam likhti ha
    Main kehta hoon
    Suno
    Yah nazam meri ha
    Tu phir tum nay kyun apnay naam say mansoob karli ha
    Meri ya baat sun k os ki aankahin muskurati hain
    Woh kehti ha suno
    Sada say rishta ha
    K jaisay tum meray ho is tarhan ya nazam meri ha
    Ajab pagal si larki

  • #2
    Re: Its Amir Collection...

    Wo Bujhey Gharoon Ka Charagh Tha Yeh Kabhi Kisi Ko Khaber Na Ho
    Ussey Le Gai Hai Kahan Hawa' Yeh Kabhi Kisi Ko Khaber Na Ho
    Kai Log Jaan Se Jain Gey Merey Qatloon Ki Talash Main
    Merey Qatel Main Mera Hath Tha' Yeh Kabhi Kisi Ko Khaber Na Ho
    Wo Tammam Dunya K Wastey Jo Muhabtaoon Ki Misal Tha
    Wohi Apney Gher Mein Tha Be Waffa Yeh Kabhi Kisi Ko Khaber Na Ho
    Merey Pass Jitni Hai Roshni Hai Yehi Charagh Ki Zindagi
    Mein Kahan Jala Mein Kahan Bhuja Yeh Kabhi Kisi Ko Khaber Na Ho
    Mujhe Jaan Kar Koi Ajnabi Wo Dhikha Rahey Hain Gali Gali
    Issi Sheher Mein Mera Gher Bhi Tha Yeh Kabhi Kisi Ko Khaber Na Ho
    Wo Samjh K Dhoop Ka Dewta Mujhe Aaj Pojney Aaye Hain
    Main Charagh Hoon Teri Shaam Ka Yeh Kabhi Kisi Ko Khaber Na Ho



    Comment


    • #3
      Re: Its Amir Collection...

      har aaik baat pe kehte hou tum k tu kya hai
      tumhe kahoo k ye andaz-e-guftugo kya hai
      ragun mai dorte phirne k hum nahi qayail
      jab aankh hei se na tapka tu phir lahu kya hai
      chipak raha hai badan par lahu se pairahan
      hamare jaib ko abb hajat-e-rafu kya hai
      jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hou ga
      kuradte jo hu abb rakh gustuju kya hai
      har aik baat pe kehte hou tum k tu kya hai



      Comment


      • #4
        Re: Its Amir Collection...

        Tumhari Yaad Ki Shama Hamarey Dil Main Roshan Hai
        Issey Khud Hi Bhuja Jana Kabhi Aana Hawa Ban Kar

        Tumhari Aarzo Ki Hai Kabhi Manga Hai Jo Rab Se
        Merey Hontoon Pe Rahti Ho Meri Jaan Tum Dua Ban Kar

        Tumharey Khuwab Main Dhaikhoon Tumhein Main RaatDin Soochoon
        Ager Yeh Juram Hai Jana! To Aa Jana Saza Ban Kar

        Kaho To Aaj Batla Doon Tumhein Kiun Dhaikhta Hoon Main
        Jo Aati Ho Aadaon Se To Jati Ho Qaza Ban Kar

        Faseel-e-jaan Ager Sir Ho To Pohnchein Terey Koochey Main
        Teri Chokhtat Pe Ja Bhaithoon Muhbbat Ka Gadha Ban Kar

        Yeh Chara Ger Bhala Kaisey Merey Is Marz Ko Samjhein
        Main Bemar-e-muhabbat Hoon Tum Aa Jao Shafa Ban Kar

        Mujhe Kamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Aik Din
        Tumharey Dil Main Utroon Ga Muhabbat Ki Sada Ban Kar

        Merey Josh-e-janoon Per Sari Khalqat Muj Ko Takti Hai
        Zara Tum Bhi Nazer Dalo Na Bhaitho Yun Khuda Ban Kar

        Tumhein Yeh Raaz Batla Doon K Akser Chaand Ratoon Main
        Terey Aangan Main Aata Hoon Sitaroon Kia Zaya Ban Kar

        Jiger Ka Khoon Laya Hoon Terey Singhar Ki Khatir
        Hathaili Per Racha Laina Yeh Mahkey Ga Hina Ban Kar

        Tumhein Jab Yaad Karta Hoon To Kaisey Jaan Sulagti Hai
        Tumhein Bhi Tars Aaye Ga Kabhi Socho Raza Ban Kar



        Comment


        • #5
          Re: Its Amir Collection...

          YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
          Yaadon ke khuwaab dikhati hain
          Mujhe saari raat jagati hain
          Kab Dil ke raaz chhupati hain
          Palkon ke dareeche kholti hain
          Kuch apni zaban main bolti hain
          Bas apni baat manwati hain
          YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
          Ek aan main faisla karti hain
          Yeh kab ruswayi se darrti hain
          Yeh ghungroo baandh nachati hain
          Her waqt yeh jaagti rehti hain
          Ek khoj main bhaagti rehti hain
          Thak haar ke wapis aati hain
          YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
          Chupke se kahin larr jaati hain
          Phir khuwabon se bhar jaati hain
          Jab toote shor machati hain
          Yeh royen to Dil bhi rota hai
          Kab in se judda yeh hota hai
          Yeh Dil ko rog lagati hain
          Kyun pyaar kiya pachtati hain
          YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN



          Comment


          • #6
            Re: Its Amir Collection...

            Titliyoon k mousan main nochna gulaboon ka
            Reat is nagar ki ha aur janay kub say ha
            Deakh kar parindoon ko bandhna nishanoon ka
            Reat is nagar ki ha aur janay kub say ha

            Abhi tum niea ho an is liya parashan ho
            Aasman ki janib is tarhan say mat deakhoo
            Aafatain jub aani ho tootna sitaroon ak
            Reat is nagar ki ha aur janay kub say ha


            Sehar k ba shinday nafratoon ko boo kar bhi
            Intazar kartay hain fasal ho mohabbat ki
            Choor kar haqeeqat ko dhondna sarabon ka
            Reat is nagar ki ha aur janay kub say ha

            Ajnabi fizaoon main ajnabi musafir say
            Apnay har taluk ko daime samajh laina
            Aur jub bichar jana mangna duaoon ka
            Reat is nagar ki ha aur jnay kub say ha

            Khamoshi mera sehwa guftufu hunar unka
            Meri bay gunahi ko loog kaisay manain gain
            Baat baat pay jubkay mangna hawaloon ka
            Reat is nagar ki ha aur janay kub say ha


            Comment


            • #7
              Re: Its Amir Collection...

              Titliyoon k mousan main nochna gulaboon ka
              Reat is nagar ki ha aur janay kub say ha
              Deakh kar parindoon ko bandhna nishanoon ka
              Reat is nagar ki ha aur janay kub say ha

              Abhi tum niea ho an is liya parashan ho
              Aasman ki janib is tarhan say mat deakhoo
              Aafatain jub aani ho tootna sitaroon ak
              Reat is nagar ki ha aur janay kub say ha


              Sehar k ba shinday nafratoon ko boo kar bhi
              Intazar kartay hain fasal ho mohabbat ki
              Choor kar haqeeqat ko dhondna sarabon ka
              Reat is nagar ki ha aur janay kub say ha

              Ajnabi fizaoon main ajnabi musafir say
              Apnay har taluk ko daime samajh laina
              Aur jub bichar jana mangna duaoon ka
              Reat is nagar ki ha aur jnay kub say ha

              Khamoshi mera sehwa guftufu hunar unka
              Meri bay gunahi ko loog kaisay manain gain
              Baat baat pay jubkay mangna hawaloon ka
              Reat is nagar ki ha aur janay kub say ha


              Comment


              • #8
                Re: Its Amir Collection...

                Comment


                • #9
                  Re: Its Amir Collection...

                  Dil se dil ka rabta acha laga
                  Aaj us ko sochna acha laga
                  Jate jate akhri lamhaat main
                  Mur ker us ka daikhna acha laga
                  Zindagi bhar us ne jo kuch bh kia
                  Us ka har ik faisla agha laga
                  Her taraf thi bawafa logon li bheer
                  Aik wo hi bewafa acha laga
                  Wo haya ki her ada main so hijab
                  Paas rah ker bhi fasla acha laga
                  Kiyon mohabbat ho gai us say
                  Kia bataiyan humko usme kia kia acha laga



                  Comment


                  • #10
                    Re: Its Amir Collection...

                    kaash hame bhi koi samjhane vaala hota
                    to aaj hum nasamajh naa hote
                    kaash koi prem ki pyali pilane waala hota
                    to aaj hum sharaabi naa hote
                    kaash koi hum par jaan fida karne waala hota
                    to aaj hum kaatil naa hote
                    kaash koi hamare saath ghar basane waala hota
                    to aaj hum beghar naa hote
                    kaash koi hamare saath doosti karna wala hota
                    too ajj beghar dooost ka na hota
                    kaash Kuch hamaree bhi maqsad hote
                    too ajj hmm beghar maqsad ke na hote
                    shaayad accha hi hua ke koi bhi nahi hai ab
                    nahi to aaj hum shaayar naa hote


                    Comment


                    • #11
                      Re: Its Amir Collection...

                      hmmmmmmmmmmm achi hain

                      Comment


                      • #12
                        Re: Its Amir Collection...

                        nice poetry. . .


                        B.R.,
                        kashi4gul

                        Comment

                        Working...
                        X