Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

As'haar Competition May 08

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • As'haar Competition May 08

    Asalam-o-Alikum

    Is Maah Ka Lafz hai Shaam
    Polling Ki Last Date 30 May Hai
    Koi Bhi Participant Khud ko Vote Nahin Kar Sakhta Aisa Karney ki Surat Main Us Ki Sharing Cancel kar De Jay gi



    Intezar Rahay Ga

    Khush Rahiye

    Wa.Salaam
    13
    Musaddaq
    76.92%
    10
    Khananiz
    23.08%
    3
    Sentortia
    0.00%
    0
    Last edited by La'hasil; 23 May 2008, 09:59.
    Zindagi Thak Gaye ..!!

  • #2
    Re: As'haar Competition May 08

    Nice competition janab :rose
    I'll try to take part in this competition :)

    Comment


    • #3
      Re: As'haar Competition May 08

      mein bilkul end mein kuro ga.....

      abhi kur deta ho ....phir 1 mahena wait kurna parta he :p

      Comment


      • #4
        Re: As'haar Competition May 08

        Originally posted by MSA View Post
        mein bilkul end mein kuro ga.....

        abhi kur deta ho ....phir 1 mahena wait kurna parta he :p
        :khi:

        Comment


        • #5
          Re: As'haar Competition May 08

          Tera dard tha teri yaad thi
          Main jahan raha main jidhar gaya
          Mera din to yuhin guzar gaya
          Ju.nhi shaam hui, main bikhar gaya!!!

          Is aber ka mere yaar se
          Bada milta julta mizaj tha
          Kabhi toot kar bikhar gaya
          Khabi berukhi se guzar gaya!!!

          Jab main chhor dunga wo gali
          Use yaad aaye-gi tab meri
          Dhunde-ga wo tab mujhe
          Use khabr mile-gi ke main mar gaya!!!

          Abhi tang hai wo mere naam se
          Mere baad aaye-ga wo dosto
          Wo tumhi ko rok ke puchhe-ga
          Main kahan pe hoon, main kidhar gaya???

          -------------------------------------------------------------------------

          Tumhain Sochoon to sab silsala acha lagta hain
          Mujhe tumhare shaam-o-sehar acha lagta hain
          Bohat duur tak jana magar laut aana
          mujhe tum se tumhi tak keh fasle acha lagta hian

          --------------------------------------------------------------------------

          tumharay na honay say kuch bhi nahi badlaye
          suraj bhi waheen say nikalta hay
          aasman pe taray bhi nikaltay hein
          oor chand ki chandni bhi hoti hay
          hawain bhi chalti hein
          darya bhi bahtay hein
          phool bhi khiltay hein
          phoolon mein khooshbu bhi hoti hay
          LAYKIN
          na janay kyon tumharay na honay say
          her cheez adhuri si lagti hay
          her subah shaam si lagti hay
          her muskaan odaas si lagti hay
          her mehfil anjaan si lagti hay
          her dharkan bayjaan si lagti hay

          --------------------------------------------------------------------------

          Tumhein jab kabi mile Fursatein Mere Dil se Bojh utar do
          Mai boht dino se Udaas hoon, Mujhe koi Shaam udhar do

          Mujhe apne Roop ki Dhoop do, K Chamat sakey Mere Khad-o-Khaal
          Mujhe apne Rang mai rang do, Mere sare Zang utar do

          Kisi aur ko Mere Haal se, na garz hai na koi Wasta
          Mai Bikhar gaya hoon Samet lo, Bigar gaya hon Sanwaar lo

          Meri Wehshaton ko barha dya hai Judaiyon k Azab ne
          Mere Dil pe Haath rakho zara, Meri Dharkano ko Qarar do

          Wahan Ghar mai Kon hai Muntazir, Kise Fikar Dair Sawer ki
          Bari Mukhtasar si yeh Raat hai, ise Chandni mai Guzar lo

          -------------------------------------------------------------------------------------------------------

          Socha nahi acha bura dekha suna kuch bhi nahi
          manga khuda se raat din teray siwa kuch bhi nahi

          Socha tujhay ,dekha tujhay,chaha tujhay, pooja tujhay
          meri khata, meri wafa ,teri khata kuch bhi nahi

          Jis per humari aankh ne moti bichaiay raat bhar
          bheja wohi kaghaz usay hum ne likha kuch bhi nahi

          Aik shaam k saaiay talay bethay rahay woh der tak
          aankhon se ki batain bahut muun se kaha kuch bhi nahi

          Ahsas ki khusboo kahan awaaz k jugnoo kahan
          khamosh yaadon k siwa ghar main raha kuch bhi nahi

          Do char din ki baat hai dil khak main mil jaiay ga
          jab aag per kaghaz rakha baqi bacha kuch bhi nahi
          Last edited by musaddaq; 5 May 2008, 10:11.

          Comment


          • #6
            Re: As'haar Competition May 08

            acha compition hai ye bata de yaha per apni poetry hi paish kerni ya choice bhi ker sakte hai
            Uzair

            Comment


            • #7
              Re: As'haar Competition May 08

              Originally posted by uzair143 View Post
              acha compition hai ye bata de yaha per apni poetry hi paish kerni ya choice bhi ker sakte hai
              Uzair
              Aap apni poetry bhi share kar sakte hain or kisi dosre ka kalaam bhi paish kar sakte hain :)

              Comment


              • #8
                Re: As'haar Competition May 08

                Jee Bilkul Mr.Khan Sahi keh rahay hain Jo Aap Ka Dil Chahey Share Kijye :rose
                Aur MSA LoLZZ :p
                Zindagi Thak Gaye ..!!

                Comment


                • #9
                  Re: As'haar Competition May 08

                  :)..........1

                  Dil Mein Eik Jazba Tha Wo Bhe Na Rha Shaam K Baad
                  Phir Na Aaii kOii Honton Pey Dua Shaam K Baad

                  Shaam Sey Pehlay To ZarOun Ki Chuban Thi Lekin
                  Kitnay tAnhA Hain Meray Aabla Paa Shaam K Baad

                  Zakham Chehray Pey UjalOun Ney Sajaye Kitnay
                  AaSmanOun Sey Yeh PoCho To Zara Shaam K Baad

                  Shour Parwaaz Ka Hai Ab Tak Hawa Mein Is Ki
                  Jis Prinday Ko Koii Qafas Milla Shaam K Baad

                  Eik SOoraj Tha Jo Gum Ho Gaya Tareekii Mein
                  Eik JugnOo Tha Jo Chup Chaap Bujha Shaam K Baad

                  Rat Jagay Meray MuQadar Mein Likhay Hain Warna
                  So Hi Jati Sabhii Halq e KHUDA Shaam K Baad

                  Din K Dhaltay Hi Koii Sang Laga Ho JaiSay
                  KirchiyOun Ki Trah Uthi Thi Sada Shaam K Baad

                  Mein Ney AshkOun Ki Zubaan Mein Kha Ley "tAnhAii"
                  Apnay HathOun Pey Koii Mehandii Saja Shaam K Baad

                  Yaa To Eik Lafz e "mUhabbat" Mein Tha Qaidii Ki Trah
                  Yaa Jo Bikhra To Smaita Na Gaya Shaam K Baad

                  Meray Chehray Pey Thakan Likhi Hai Saray Din Kii
                  Eik Safar Or Bhe PairOun Sey Khula Shaam K Baad

                  KaiSi BaSti Hai Jhan Shaam Sey Pehlay Aaye
                  Ab Na RaSta Hai Na Manzil Ka Pata Shaam K Baad

                  Shaam Ko Zor Sabhii LehrOun Ka Dum Tour Gaya
                  Mein Ney Sahil Pey Tera Naam Likha Shaam K Baad

                  Kitnay LehjOun , Kaii RangOun Mein Badal Kar Dekha
                  Par Na AankhOun Ney Koi Akas Parha Shaam K Baad

                  Dil Ki Garmii Ney Jalaya Meray ZakhmOun Ko Magar
                  Eik Naya Zakham Klaijay Pey Khila Shaam K Baad

                  KaiSay Khush Rang Manazir Thay Sabhii Bujhnay Lagay
                  Kitni Be Rang Sii Lagtii Hai Fiza Shaam K Baad

                  Tugh Ko PehChaan Na Paya Yeh Muqadar Tha Mera
                  Warna Kitna Tughe MehSOos Keya Shaam K Baad

                  Meri AankhOun Mein Kabhe Parhna Hikayet Sarri
                  Mein Ney Har Lafz Ko AankhOun Mein Likha Shaam K Baad

                  Janay Kya Taiz Hawaon Ka Hai Dar Seenay Mein
                  Thar-Tharanay Laga Aangan Ka Diya Shaam K Baad

                  Meray LafzOun Ne Banaye Hain Ma'anii Apnay
                  Mein Ney Qartaas Pey Likha Tha "Waffa" Shaam K Baad

                  Thokarien Khatay Hain Girtay hAin Musafir Lekin
                  Janay Kia Dekhta Rehta Hai "KHUDA" Shaam K Baad

                  Is Qadar KhOya Tha Tugh Mein mUghe MalOom Nahien
                  Khaan "HaSham" Khaan Likha Tha "Raza" Shaam K Baad
                  Last edited by khananiz; 7 May 2008, 20:49.



                  Comment


                  • #10
                    Re: As'haar Competition May 08

                    :).............2

                    Ulfat Ka jAb Kisi Nay Liya Naam rO Paray
                    Apnii Wafa Ka sOch Kay Anjaam rO Paray

                    Har Shaam Yeh Sawaal mUhabbat Say Kya Milla
                    Har Shaam Yeh Jawaab K Har Shaam rO Paray

                    Raah e Wafa Mein hUm kO KhUshi Kii TalaSh Thii
                    dO Gaam Hii Chalay Thay K Har Gaam rO Paray

                    rOna NaSeeb Mein hAi tO AurOn Say Kya Gilla
                    Apnay Hii Sar Liya kOii Ilzaam rO Paray
                    ***********************************************

                    :).............3

                    Yaad kAray jAb Mujh kO teRi taNhai
                    dekha karna guldanoN ko shaam k bAad

                    Main ne os ka soog manayaa kuch aisay
                    khali rakha pemanoN ko shaam k bAad
                    **********************************************


                    :)...........4

                    Hamara Dil sawerY kA sunehra Jam hO ja'ay,
                    ChraghoN ki trha ankhaiN jaleN, jAb sham hO ja'ay...


                    Samandar k safar meiN is trha aawaz de ham ko,
                    Hawa'aiN taiz hoN aur kashtioN meiN sahm ho ja'ay...

                    Ujaaly apni yadoN k hamary sath rehny do,
                    Najany kis gali meiN zindgi ki sham ho ja'ay...
                    ************************************************** **

                    :)............5

                    Azaab-e-zaat pOra hO gya hy,
                    JahaN dariya thA, sehra hO gya hy......


                    SukOOt-e-shaam ka mAnzer to dekhO,
                    Samunder aur gehrA hO gya hy...




                    Last edited by khananiz; 7 May 2008, 20:51.



                    Comment


                    • #11
                      Re: As'haar Competition May 08

                      in parbaton ki chaon me soey sakoot ko
                      kar ke buland cheekh drane ko jee kare
                      bujhne lagi he SHAAM andheron ki goad me
                      har simat ek aag lagane ko jee kare

                      Comment


                      • #12
                        Re: As'haar Competition May 08

                        Buhat Khoobsurat Sharing Aap Sab ki :x
                        Zindagi Thak Gaye ..!!

                        Comment


                        • #13
                          Re: As'haar Competition May 08

                          sab ki buht achi .... Voted
                          u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                          :pr:

                          Comment


                          • #14
                            Re: As'haar Competition May 08

                            voted
                            sigpic

                            Comment


                            • #15
                              Re: As'haar Competition May 08

                              voted :rose
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment

                              Working...
                              X