Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aik poem

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • aik poem

    asalamolakium to all

    how r u all?
    hope so fine here i am shairing a poem hope so u all like it




    Udaas Shameen, Ujrey Rastey, Kabhi Bulain
    To Lout Aana
    Kisi Ki Ankhon Main Rangoon K Azab Aen
    To Lout Aana
    Abhi Nai Vadiyan Naey Nazaron Main Reh Lo
    Mager Meri Jaan...!!!
    Yeh Sarey Aik Aik Kar K Jab Tumhin Chor Jain
    To Lout Aana
    Jo Shaam Dhaltey Hi Apni Apni
    Panah Gahon Ko Loutay Hain
    Ager Woh Panchi Kabhi
    Dastaan Sunain
    To Lout Aana
    Naye Zamano Ka Qarb Orrey
    Zaief Lamhey, Nidhaal Yaadien
    Tumharey Khaboon K Band Kamrey
    Main Ager Jo Aaen
    To Lout Aana
    Ager Andheron Main Chor Ker Tum Ko
    Bhool Jain Tumharey Saathi
    Aur Apni Khatir Hi Apny Apny Diyey Jalen
    To Lout Aana
    Meri Woh Batin Jin Pay Beikhtiar
    Tum Hanstey Thay Khilkhila Ker
    Bicharny Waley Meri Woh Batin Kabhi
    Tum Ko Rullaen
    To Lout Aana
    Bicher Kay Mujh sey Arien
    Kabhi Udaas Ho To Lout Aana
    AkelayPan Ki Udaas Raatin
    Na Kut Saken To Lout Aana
    Parraye Logon Main Kon Tum Ko
    Siwaye Meray Manna Sakey Ga
    Kissi se Yun Mazaq Ya Jhagrey
    Main Routh Jao,
    To Lout Aana



    feimaanallah

  • #2
    Re: aik poem

    buat hee khoob surat

    Comment


    • #3
      Re: aik poem

      Cutelibra very impressive - aap agar shair ka naam bhi likhtey to ziyada achha hota. Mazeed ka intizaar rahey ga :rose
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: aik poem

        Originally posted by khl
        buat hee khoob surat

        thanx khl bhai
        khush rahain

        Comment


        • #5
          Re: aik poem

          Bohat umdah .......thanx keep it Up......i think wasi ki hay yeh nazm ? :)
          Allah

          Comment


          • #6
            Re: aik poem

            guddd

            Comment


            • #7
              Re: aik poem

              Originally posted by Masood
              Cutelibra very impressive - aap agar shair ka naam bhi likhtey to ziyada achha hota. Mazeed ka intizaar rahey ga :rose

              thanx masood ji
              but mujhe bhi sahi se pata nahi hai keh kis ki poem hai yeh:embarasse
              sorry han
              ager kise ko pata hai to plz tell me also

              khush rahain

              Comment


              • #8
                Re: aik poem

                Originally posted by YAARAM
                Bohat umdah .......thanx keep it Up......i think wasi ki hay yeh nazm ? :)
                r u sure?yeh wasi shah ki hai?
                waise thanx pasand kerne ka

                khush rahain

                Comment

                Working...
                X