Bachpan Ke Dukh Kitne Ache Hote Thay
Tub Dil Nahin Sirf Khilone Toota Karte Thay
Wo Khushiyaan Bhi Najaane Kaisi Khushiyaan Thi
Titli Ke Par Noch Ke Uchla Karte Thay
Paaoun Maar Ke Khud Baarish Ke Paani Main
Khud Apni Kashti Dubooya Karte Thay
Ab Sochein To Chot Si Parti Hai Dil Pe
Rait Par Gharonde Bana Kar Khud Tora Karte Thay
Chote Thay To Makr_O_Faraib Bhi Chote Thay
Daana Daal Kar Chiriya Pakra Karte Thay
Apne Jall Jaane Ka Afsos Bhi Na Tha Humein
Jub Jalte Sholon Ko Tang Kiya Karte Thay
Khushboo Ke Urte Hi Kyun Murjha Gaye Phool
Kitne Bhole Pan Se Hum Poocha Karte Thay
Aaj Bhi Wo Taabeerein Lahoo Lahoo Rulaati Hain
Bachpan Main Jo Hum Sapne Dekha Karte Thay
Ab To Ek Aansoo Bhi Ruswa Kar Jaata Hai
Bachpan Main To Jee Bhar Ke Ro Liya Karte Thay